Friday 23 January 2015

GHAZAL :Maine Uss Se Dil Ki Baat Chupai Nahi Kabhi

Maine uss se dil ki baat, chupai nahi kabhi 
Uss ne mujko koi bhi baat, batai nahi kabhi. 

Uss ne mere bina, jaag ke sab kaam kar diye, 

Mujhe jis ke bin, need bhi aayi nahi kabhi.

Deekha ke peeth wohi saamne se chale gaye hain aaj, 

Jin se aaj tak maine nazar bhi churai nahi kabhi. 

Jis ke liye sabko choda wohi chod gaya mujhe, 

Main soochta tha ke ab hogi woh parai nahi kabhi.

Milna bicharna naseeb hai par phir bhi na jaane kyon, 

Mujhe lagta tha apne beech hogi judai nahi kabhi.

Teri badnaami ke darr se sada khamosh raha main, 

Mahobat ki kahani kisi ko bhi sunai nahi kabhi.

Tuje maan ke apna naseeb main khuda se lad gaya, 

Aur apni surat phir khuda ko bhi deekhai nahi kabhi. 

Saza kaatne ka afsoos nahi par itna sa malaal hai, 

Main duniya ko de sakka apni safai nahi kabhi. 

Dokhe pe dokhe kha ke bhi mera mann yeh kahe, 

Aey dost tu kar sakta mujse bewafai nahi kabhi. 

Dil katil ho ke bhi jahan dharakte hon pyar ke liye,
Aise mukadmein ki kar sakta koi sunwai nahi kabhi


Jin ke vaadun ki khatir hum barbaad huve hain, 

Wohi khetein hum ne kasam neebai nahi kabhi.

Marne ke baad bhi "Chahat" kisi ko yeh gila raha, 

Ke uss ki mazaar pe tu kyon aayi nahi kabhi. 

No comments:

Post a Comment