Monday 9 March 2015

GHAZAL: Khud Ko Khuda Samaj Lene Ki Galti Kee Hai Lakhun Ne

Khud ko khuda samaj lene ki galti kee hai lakhun ne
Bahut gamand karnewale ko mitti chatai hai paapun ne

Yeh daur kuch aisa hai ke iss daur mein sabkuch ulta hai
Doodh chod ke paani pee liya hai aasteen ke saapun ne

Batavo tum mujhe aey dost who aadami kaya bole tujse 
Kaat lee ho jis ki jheeb khud hi uss ke daatun ne

Bhure halaatun mein jis ko maangne se bhi maut nahi aayi
Par jab woh jeena chahata tha tab saat diya na sansun ne

Aisa nahi hona chahiye par aisa akshar hi hota hai
Dokha har insaan ko diya hai uss ke hi riste naatun ne

Dil ki chooti sachi baatein kyon pyar mein asar nahi karti
Loota hai kitna dil ke zazbun ko badi badi jhooti baatun ne

Azadi ki keemat woh hi samje joh qaidi ban ke kabhi raha ho
Gandhi Ji ko bada banaya tha jail ki hi kadhi salakun ne

Maine aisa bhi dekha hai gulistaan mein hote huve "Chahat"'
Ke phoolun ko giraya hai khud unn ki hi shaakun ne.

No comments:

Post a Comment