Monday 23 March 2015

New Year - Navroz - Meri Arzoo

Accha sab ke liye Navroz ho, 
Aur aisa hi din har roz ho, 
Sukh shanti bhaichaara bade duniya mein, 
Aur acchi cheezun ki khoj ho.
Accha sab ke liye Navroz ho 

Koi kisi ke liye bhura na sooche, 
Koi kisi ko na de dokha, 
Har ek ko uss ka haq mile, 
Poori azadi mile mile har mokha, 
Masti se bhari ho sab ki jindagi, 
Aur har ek ke dil mein mauz ho.
Aur aisa hi din har roz ho ......... 

Apni jimmewari sab karen poori, 
Wohi kaam kiye jayen joh zaroori, 
Kisi ke dil ko koi dukhaye na, 
Kisi ki raah mein rodha atkaye na, 
Ristun mein rahe itni imandaari,
Ke kisi ke dil pe na koi bauz ho, 
Aur aisa hi din har roz ho............

Pyar ka rang gulen gulistaanu mein, 
Umeedun ke parcham leyrayen asmaanu mein, 
Duniya mein sab se aage jaana hai hume, 
Aisee shakti gulli ho apne pranu mein, 
Kamyaabi hume mile har ladai mein, 
Asmaan pe ladi jaye ya zameendoz ho,
Accha sab ke liye Navroz ho.............

Har deshwasi ko suvida mile dhoop mein aur chhavun mein, 
Taaraki ki khusboo fehle har gaon gaon mein, 
Har bete ke chere pe ho ronak, 
Kanta bhi na chube kisi beti ke paavun mein, 
Sab ko ek sa pyar mile apnu se begaanu se
Ram ho ya Mohd Salma ya Saroj ho, 
Accha sab ke liye Navroz ho..............

Apne saat saat desh ka soocha jaye, 
Seva ka mokha haat se na jaye, 
Har roz nahi par jab bhi de sakko, 
Jitna ban sakke desh ko diya jaye, 
Zaroorat padne pe desh ke aaye kaam "Chahat" 
Apne pass mar mitne wali fauz ho, 
Aur aisa hi din har roz ho,,,,,,,,,,,,,,

No comments:

Post a Comment