Friday 27 February 2015

Ghazal :Chamakte Jugnu Mujhe Raat Bhar Satate Rahe

Chamakte jugnu mujhe raat bhar satate rahe 
Na yaad kar ke bhi tum yaad mujko aate rahe.
Na veerane mein baith akele laut ja ghar ko
Sitare mujko poori raat samjhate rahe.
Joh raatun ko nahi khilte woh phool bhi dekho
Raat ki raani ke sang khoob muskarate rahe.
Koyal na gaayi magar hawa ke kuch jhonke
Pyar ka geet main sang gun gaate rahe.
Akela chand bhi gaataun se nikla toh bola
Tamaam raat tum kiss ko yahan bulate rahe.
Kya baat hai ke tum tak na gayi awaz meri
Sitare bhi meri sunnte apni sunate rahe.
Mere kalaam ko sunn ke wah wah kehne wale
Mehfil mein geet kisi aur ka kyon gaate rahe.
Kabhi toh aisa bhi hota ke aa ke na jaate
Magar woh umar bhar aate rahe aur jaate rahe.
Jinne khabar thi ke koi na yahan aaye ka kabhi
Ghar ki chokhat pe woh deep kyon jalate rahe.
Apne zubaan ke liye joh mashoor the zahan bhar mein
Pyar mein vaade wohi kar ke bhool jaate rahe.
Aaj akela raha toh pata chala mujko "Chahat"
Zara se baat pe woh kyon rooth jaate rahe.

No comments:

Post a Comment