Saturday 2 March 2013

Dard Aur Pyar

Mere yaar itna hi muje dard de, jitna duniya se chupa sakun
Dil mein toh tera hi naam rahey, par jubaan pe na la sakun

Dard hota hai dil k liye hi,
Dard jis mein nahi woh dil hi kya
Dard dene wala apna hi hota hai,
Joh dard na seh sake woh hai bewafa
Dard se hi pyar ki pehchan hai
Dard sahey joh wohi mahaan hai
Dard se rista dil ne bana liya
Tuje chod k sab kuch pa liya
Kya kya milla khoya hai kya, kisi ko na yeh bata sakun

Dard hota nahi jis k pass
Uss k pass pyar aata nahi
Tu kaise yeh keh sakti hai
K mere dard se koi naata nahi
Dard ne sikhaya hai muje pyar mein jeena marna
Dard na hota toh aata na kisi ko pyar karna
Dard ne mere dil mein peda kiye sache zazbe
Maine bhi jindagi k saat kar liye kuch tarzube
Jindagi aisa geet likh gayi, kisi bhi leh pe usse na ga sakun

No comments:

Post a Comment