Monday 18 March 2013

Jindagi Kya Hai

Kwahasen sabhi poori hoti nahi, samjhota karna hi jindagi
Rastey hamesha aasaan milte nahi, muskilun se gujarna hi jindagi hai

Jindagi ko jeena hai agar, toh pyar kar k dekh le
Kehte hai isse aag ka darya, tu paar kar k dekh le
Agar hona hoga toh ho jaya ga, tu inkaar kar k dekh le
Pyar sab ko kahan milta hai, kisi pe marna hi jindagi hai
Rastey hamesha..................................

Mehnat se bana le kismat, aasaan tareeka hai
Maine toh aisa karna bajurgun se seekha hai
Kaam kaam hi hota hai nahi bada ya neecha hai
Haat pe haat na dhar, kuch kar gujarna hi jindagi hai
Rastey hamesha..................................

Parwana nahi darta shamma ki aag mein jalne se
Banware nahi rukte phoolen se aa k milne se
Lehar kinara chuti hai paani k oochalne se
Rukawaten toh aayengi, par ghir k sambalna hi jindagi hai
Rastey hamesha..................................

Koi saat tera chod gaya iss se na ghabra
Koi dusara mil jaye ga rahun pe chalta ja
Kisi aur ko na dekh bas apna kiya vaada niba
Rukh k intazar na kar kisi ka, chal chalna hi jindagi hai
Rastey hamesha..................................

Insaan wohi hai insaan joh khusi bante gum kareed kar
Muje hi dekh main khus ho jaata hoon bas teri deed kar
Joh pyar tuje dega. aisa bhi koi hoga, tu aisee umeed kar
Lena hi nahi, "Chahat" kisi khali daman ko bharna hi jindagi hai
Rastey hamesha..................................

No comments:

Post a Comment