Friday 15 March 2013

Meri Yehi Hai Muskil


Tu meri deewani, main bhi toot k tujko chavun
Duniya se ladh liya hai, kismat se ladh na pavun
Nas nas mein bas chuki ho, sansun mein ras chuki ho
Meri yehi hai muskil, main kaise tuje bhoolavun

Tere hone se mera hona, tu nahin toh main kahan hoon
Jab tak hai husan tera tab tak hi main jawan hoon
Tuje dekh k hi meri sasun mein sans aaye
Aise lage k main bhi teri khoon mein ab ravan hoon
Meri yehi hai  muskil kis kis se kaya chupavun

Apna pyar nahi ik tarfa shamil hain iss mein donu
Yeh aissee dewangi hai pagal hain iss mein donu
Dil ik dusare ko de k badle mein dard le k
Zakhm kha k bhi khus hai gayal hain iss mein donu
Meri yehi hai muskil geet dil ka kaise gaavun

Kabhi kabhi bhure lagte hain kismat k fesaley bhi
Ghata nahi sakta kabhi insaan do kadmu k fasley bhi
Manjil pe pounch kar bhi kabhi haarte hai rahi
Kaantun ki tarah se kaatey hai kabhi phoolun k raste bhi
Meri yehi hai muskil kadam kis taraf baravun

No comments:

Post a Comment