Tuesday 12 March 2013

Agar Jee Na Sakka

Chahey kitne bhi zakhm de, sabhi bardas kar loon ga
Agar jee na sakka, toh marne ki ardas kar loon ga

Chunn chunn k dard tu deti hai muje
Yeh teri fitrat hai marzi hai
Main tuje badle mein na kuch doon
Yeh meri khudkarzi hai
Sarre jahan ki khusiyaan main tere pass kar loon ga
Agar jee na sakka.............................................

Tu bewafa nahi hai
Mera wqat hi bewafa nikla
Kyon poojne k baad bhi
Pathar jaisa mera khuda nikla
Ab apne liye naya khuda, main talash kar loon ga
Agar jee na sakka.............................................

Pyar jab hota hai ho jata hai
Dik ko pata chalta hai dher se
Dekho koi kauwa bhool raha hai
Ghar k aangan k mitti k dherr se
Tujse pooche bina hi tere dil mein vaas kar loon ga
Agar jee na sakka.............................................

No comments:

Post a Comment