Sunday 3 March 2013

Apna Milna

Muddatun baad jab dost millen ge toh aisee baat hogi
Dil se dil ki phir se mulakaat hogi
Jab hum millen ge khas ban jayega din
Muje lagta hai aisey din ki kabhi na raat hogi.

Tera mera milna aasaan nahi hai bada muskil hai
Milne se pehle dil mein ajeeb halchal hai
Sansu kuch tej chal rahi hai pavun jam se gaye hain
Aisay lagta hai jaisey lamhe tham se gaye hain
Kuch bholne se pehle ankhun se barsaat hogi

Apne milne se khil jayen ge pehrun pe phool
Bahaar maan jayegi  k hume juda karana thee bhool
Hawa mein dhandak hogi mausam hoga kushgawaar
Bhanvare bhi karne lage ge phoolun se pyar
Bahut saalun k baad jab tu mere saat hogi

Barsun baad milne ka yeh sabab banaya hai rab ne
Milna bichrana khona paana yeh sab banaya hai rab ne
Hum mille ge cho k tuje bhar len ge bahun mein
Mere saat tu tere saat main jab chalen k rahun mein
Umeedun ki har gali mein khusiyun ki baraat hogi

Bichar k milna sab k naseeb mein hota nahi
Door jha k youn koi phir se kareeb hota nahi
Hum bade kismatwale hogen agar apna milna hoga
Ab k mill gaye toh phir kabhi na bicharna hoga
Apna milna "Chahat" kudrat ki karamaat hogi


No comments:

Post a Comment