Tuesday 12 March 2013

Har Yug Mein Hota Hai

Main aurat hoon mujpe atyachar, har yug mein hota hai
Maar peet hatya aur balatkar, har yug mein hota hai

Mard badi se badi galti bhi kare toh bhi usse maufi
Par meri choti se galti ke liye bhi koi saza nahi kaafi
Saari bandishen saari rukawaten saare kayade kanoon
Mere liye hain, inn se nikalta hai, mere umeedun ka khoon
Dil mein agni uthti hai. lave jaise toofan jalte hain
Mere aasayein dam todh jaati hain mere armaan jalte hain
Jalti huvi aag ko kuch aur hawa dene ko
Phir bhi meri zara zara se galti pe saza dene ko,
Pita Paati ya Bhai tayaar, har yug mein hota hai

Mere kisi bhi hunar ko accha samza nahi jaata
Jab Bachhi hoti hoon tab bhi bachha samza nahi jaata
Chunri na ghira, aisye na beath, aisa na bhol, aisa na kar
Papa Mummy Bhai Bhabhi se yehi baatein sun sun kar
Ma ki baat maan, Bhai ki baat sunn aur Pita sa na bhol
Ladkiyun ke chupp rehne pe accha hota hai ghar ka mahool
Sab ne bhola hai Shaadi hi hai meri jindagi ka maqsad
Saza k Phir koi Gurudwara, Mandir, Bagh, Hotel ya Maszid
Meri jindagi ka karobaar, har yug mein hota hai

Pad k kya kare gi beti sab kehta hai isse apne ghar jaana hai
Maine toh donu hi gharu ka apna hamesha maaana hai
Koi bhi ghar nahi mera pata chalta hai, jab hot hai savera
Baap Bhai ki jagha ab laga hai Devar aur Pati ka pehra
Main wohi hoti hoon bas achanak log badal jaate hain
Ma Baap Behan Bhai Saas Pati Devar Sabhi samjate hain
Donu gharun ki izzat tumare haat mein hai, khayal rakhna
Koi nahi kehta muje k tu bhi chahe toh apna, sawaal rakhna
Kyon ki aurat ka tiraskar, har yug mein hota hai

Jis ghar se nikalti hoon dobara uss ghar na jaati hoon
Beti se Bahu Bahu se Ma phir ik din ban jaati hoon
Muje lagta hai k meri ahemiyat ab kuch badh jaye gi
Mere ghar mein Khuda ki duva se jab nayi khusi aaye gi
Sab k sapne toot jaate hai dekh k palne mein  ladki
Mujse apne rhoot jaate hai dekh k palne mein ladki
Main kuch kar nahi paati main kismat ko kosti hoon
Koi apna nahi lagta main apnu ko khojti hoon
Bete k kaam beti se pyar, har yug mein hota hai

Beta agar hota toh mere bhi izzat bad jaati
Saas Sasur Pati Dever main sab se duvayen paati
Apni Ma bhi mujko le deti kapde gehne
Ladke ki Nani hone k tu kaya jaane maane
Beta peda nahi huva iss mein meri hai galti
Beta youn pal jaata hai par beti muskil se palti
Bas meri yehi galti hai k main hoon ek aurat
Peda karte wqat kyon na dekha tha accha Mahurat
Ladki samzi jaye hai bhaar, har yug mein hota hai.

No comments:

Post a Comment