Tuesday 12 March 2013

Premika ki Pukar

Kya karen ge hum, tere bina jindagi mein
Chal payen ge na, ik bhi kadam, tere bina jindagi mein
Kaise jiyen ge hum. tere bina jindagi mein

Meri sansun ne leh se chalana, teri sansun se sheekha hai
Main kya hoon, samzi hoon, jab khud ko, teri ankhun se dekha hai
Tune bataya hai muje muj mein kya hai kya nahi
Tere dil ke siva mere pass aur koi bhi jagha nahi
Kisi aur ki chardewaari, mere sansun pe pade gi bhari
Gut jaye ga apna dum, tere bina jindagi mein
Kya karen ge.............................................

Khusiyun mein kya maza hai kaise manane khusiyaan
Woh khusi hai sab se acchi joh paani se bhar de ankhiyan
Tune bata ke sab kuch. badla jeene ka mera har dang
Tere siva ab kissi ka mann chahata nahi hai sang
Dil ki khusi hai tumse, meri jindagi hai tumse
Dard pe na lage ga marham, tere bina jindagi mein
Kya karen ge.............................................

Main teri yugun yugun se, tu bhi mera sada raha hai
Yeh toh bata de mujko. tu kahan chuppa raha hai
Ab aan joh mille they, phir kyon juda huve ho
Main annchal mein bhar na payi kyon aisee hawa huve ho
Tere lautane ki ass bhi hai, milne ki pyas bhi hai
Main Kaise loon gi agla janam, tere bina jindagi mein
Kya karen ge.............................................



No comments:

Post a Comment