Saturday 9 March 2013

Geet Gazal Aur Aashar



Dil toota mera, ya todha gaya, tu dena safai koi nahi
Woh kehte hain, sab khud hi huva, iss mein bewafai koi nahi

Hum pyar k deewane hai, pyar ki har baat maane hai
Raat din saat rehne k doondate rehte bahane hai
Pyar sacha kiya, karte hain, jhooti kasam khai koi nahi

Pyar karna phir chod dena kyon chalan ban gaya hai
Ek saat kahin iss mein rahen aisa mann ban gaya hai
Kon kehta hai aisa karne se, hoti jag hasai koi nahi

Bewafai k iss daur mein wafa ki umeed karnewale
Khatey hain dil pe zakhm paate hai pavun pe chaale
Sach hai andhera hone pe, saat chalti parchai koi nahi

Yeh sach hai tu meri nahi,ho chuki ho ghair ki barsun se
Phir bhi haali kehta hai yeh baat gyon aur sarsun se
Kyon barsaat mein ghir pade,abhi ki maine katai koi nahi

Saat rehna aajmana pyar ka, is tarah se hota hai imtihaan
Choo k choom k  ek ho k, ban jaata hai koi kisi ki jaan
Ek ko chodna duje ka hona, aajkal iss mein burai koi nahi

-------------------------------------------------------------------------


Fasle mitane ka hum, fesala na kar sakke
Koshish bahut ki par tere, dil mein na uttar sakke
Tum se bhi kuch gila hai, kuch apni bhi galtiyaan hain
Nazrun se apni ghir k, kyon hum na ubar sakke

Gali gali karte rahe pyar ki talash hum
Yeh mil na saaka ghar aaya ho k nirash hum
Is baat se reh rahe hain aajkal udas hum
Jis rah pe tera ghar tha, kyon uss rah se na gujar saake
------------------------------------------------------


Phele dil se duva deta hoon, phir dil mein jagah deta hoon
Ik baar joh aa jaye dil mein, phir na jaane ki waza deta hoon
Agar koi aa k chala jaye, toh phir khud ko hi saza deta hoon

..............................................................................................................

Meri duniya mein kya hai kya nahi hai
Sabhi apne hain, mera magar koi nahi hai

Koi bhi saat mera nahi deta yahan
Muj mein shayid hunar koi nahi hai

Gujre wqat ki taran woh bhula muje
Jis k bin mera gujar koi nahi hai

-------------------------------------------------------------------
Jinney bhi saza milti hai, sabhi gunagaar nahi hote
Jeewan mein phool bhi khilte hain, hamesha khar nahi hote

Insaan kya khuda bhi unn ka saat nahi deta
Jeewan mein jokham lene ko, joh bhi tayaar nahi hote

Jeene k kam tareekay hain, marne k bahane soo
Joh bhi log marte hain, sabhi bemaar nahi hote

Mahobat jis ko kehte hain, roohun ka woh sangam hai
Sirf jismun k milne se hi, sache pyar nahi hote

Mehnat se joh milti hai ussi ko jeet kehte hain
Mehnat ki rah pe badte kadam kabhi bekaar nahi hote

---------------------------------------------------------------

Meri raatun ko joh roshan kar de, aisa chiraj tu lete aana
Sard raatein hain. phela hai khora,jism ki aag tu lete aana

Main kahan kahan na bhatka teri talash mein
Phir bhi mil sakka muje tera suraag
Tere bina ga na sakka main jindagi ka geet
Chahe maine badle kahin saaz kahin raag
Jeena chahata hoon, jiyunga tere sang, apna suraag tu lete anna

Tera chere chand jaisa muje pass bulata hai
Teri ankhen jheel jaisee mujko nayota deti hai
Jab main inn mein kho k doondata hoon tujko
Khud mein dhabo k yeh muje ghota deti hai
Main sansun ki been bajavun ga, zulfun k naag tu lete aana

--------------------------------------------------------------------------






No comments:

Post a Comment