Monday 4 March 2013

Gyan Aur Vigyaan

Gyan ka deepak jala lo aagyan ka andhera jaye ga
Deep se jab deep milega suraj hi ban jaye ga

Suraj k parkash se mehekega.
Tan mann aur vatavaran
Kaali Raat kat jaye gi savera aaye ga
Gyan se jab vigyaan mille ga
Toh peeche kaise rahe ga darshan
Acche bhure ke is yudh mein
Tu sachai ko ho ja arpan
---------------------------------------------
Gyan ki agni jala lo, aagyan ka naash hoga
Sab k mann mastik mein gyan ka vaas hoga
Agni k parkash se sudhh hoga antakaran
Phir lakshya door kahan tere hi pass hoga
Gyan aur parkash se vigyaan bhi badega
Sachai ka tu saat dega burai se ladega. 

No comments:

Post a Comment