Monday 18 March 2013

Gazal: Tanha Safar

Sissak sissak k main roya, magar asar na huva
Wqat phir bhi uss k pehlu mein, basar na huva

Kitne karwaan mile mujko, kitne humsafar chutey
Khatam phir bhi tanha mera safar na huva

Imandaari bhi ki maine, aur sachai pe bhi chala hoon
Par kisi bhi baat pe ooncha, mera sar na huva

Manjil pe pounch k uss ne saat mera choda
Kuch aur intazar kar na paya, usse sabar na huva

Logo tum hi batavo kya naam doon main uss ko
Joh saat toh chala mera, par humsafar na huva

Khoon se neev rachi maine, paseene se dewaar uthai
Makaan ban toh gaya lakin, mera ghar na huva

Usse kho k bhi jaise kaise jee hi liya humne
Hame gumaan tha mar jayenge woh apna agar na huva

Kuch pal k saat hi ab logon ko lagen acche
Jisse janum se chaha, apna saari umar na huva

Neyamatein bhi vaari uss pe aur khud ko bhi luta k dekha
"Chahat "kisi bhi surat mein, woh mera magar na huva

No comments:

Post a Comment