Wednesday 13 March 2013

Tere Hone Se Kya Hoga

Main tanha tha main tanha hoon,
Tere hone se kya hoga
Sab kuch lut chuka mera
Tuje khone se kya hoga

Mahobat mein ik baar aisa wqat bhi aaya
Jab rokh sakta tha tume, tab main rok na paya
Tu ghair ki gayi ho
Ab rone se kya hoga
Tere hone se kya hoga
Tuje Khone se kya hoga

Tere mera joh rista tha pavitr tha woh kitna
Kabhi na khatam hone wala dil mein pyar tha itna
Daagi anchal huva hai joh
Usse dhone se kya hoga
Tere hone se kya hoga
Tuje Khone se kya hoga

Kuch log mahobat ko khel samaj k karte hain
Hamare jaise pagal toh pyar ki khatir marte hain
Jismu se khelne wallun ka
Dil k khilone se kya hoga
Tere hone se kya hoga
Tuje Khone se kya hoga

Saz savar k milne aana pyar ka yeh bhi tareeka tha
Maine toh pyar karna bhi apne jaanam se seekha tha
Ab kahan rahi woh baatein. kahan woh din kahan raatein
Ek raat mein log ab kaheien saati badalte hain
Kabhi dulahan badalti hai kabhi baraati badalte hain
Aisey Insaan ko kisi k sang
Roj sone se kya hoga
Subha hone se kya hoga
Badan ko bicha k joh noochte hain ban k jaanwar
Aisey Insaanu ko
Palkun ke bechone se kya hona
Subha hone se kya hoga
Tere hone se kya hoga
Tuje Khone se kya hoga

No comments:

Post a Comment