Sunday 3 March 2013

Dukh Jayenge Ik Din

Tume dukh denewale logh dukh payenge ik din
Gamand se choor joh bhi hain, sabhi jukh jayenge ik din

Tu khuda pe bharosa kar k sachhi rah pe chalta ja
Andheri rahun mein shamma ban k jalta ja
Khuda ki lathi chale gi jab, chain mille ga tujko tab
Duniya se gum-o-sitam sabhi rukh jayenge ik din

Sachai pe tu chala ab tak, maana raha thoda peeche
Har dhor mein tere apnu ne, gairun ne tujko choda peeche
Magar tu haar na himmat, mehnat se bana kismat
Peeche rehne k haarne k tabhi dukh jayenge ik din

--------------------------------------------------------------------

                        Kasam

Maine khai hai kasam saat chalunga tere
Hota hai toh hone de zamane ko khilaf mere
Tune bhi dil-o-jaan se muje maana hai apna
Main bhi na tootne doonga chahatum k gehre

Tere siva kisi aur ko kabhi main na dekhun ga
Kisi aur k baare mein na poochun ga na soochun ga
Tera nasha aisa chada hai k kuch aur soojta nahi
Acchey muje nahi lagte chahe hon chand se chere

Tera hi naam se meri sanse rukti chalti hai
Tere khayal se umange apne rang badalti hai
Tere yaad k aane se mera din nikalta hai
Teri tasveer dekh kar hote hain subha savere

Aaj nahi toh kal tu mere pass aaye gi
Chod de yeh rona dhona jaldi hi muskaraye gi
Chand chandi dega phool khusboo bikehren ge
Jin din agni ke saamne tu mere sang ley gi pehre




No comments:

Post a Comment