Friday 8 March 2013

Ma

Today is International Women's Day. The first women in every one's life is his or her mother. Here is a poem for Ma.

Ma

Duva de muje tu duva de muje
Jahan bhi rahun main tumara rahun
Apna khayal bhi rakhu theek se
Aur tera bhi sahara rahun

Aisa kaam kar sakun jissey roshan tera naam ho
Aur khuda ka naam bhi hontun pe subha sham ho
Tere kadmu mein ma mera char dham ho
Beta tera Shravan bane ya toh phir Ram ho
Duniya bhi mera maan kare
Tera bhi main pyara rahun
 Duva de muje.....................

Tere duvayen milti rahen toh manjil ko pavun main
Har subha teri tasveer dekh ashirwaad pavun main
Tere mamta ki chaya se kabhi na door javun main
Joh bhi tumse vaada kiya hai har ik neebavun main
Bhgwan ki tarah teri puja karun
Aur sada ankhun ka tara rahun
Duva de muje..................................

Meri sabhi galtiyaan mauf tum ne kari hai
Meri jholiyaan tune khusiyun se bhari hai
Maine tere daantne mein bhi pyar dekha
Kabhi  tuj mein saheli kabhi yaar dekha

Tu dukhi jab huvi toh ankhun mein bhar dekha
Tu khus huvi toh teri akhun mein sansar dekha
Maine dekha hai tuj ko har roop rang mein
Main bahut khus rehta hoon tere hi sang mein

Muje tujse door kabhi jaana nahi hai
Jaisee tu hai vaisa zamana nahi hai
Muje apne hi pavun mein rakna sada tu
Kisi haal mein bhi hona na judha tu

Tere bin mera jeena jeena nahi hai
Tera khoon hai  muj mein paseena nahi hai
Duva karta hoon main apne khuda se
K kabhi bhi na main besahara rahun
Duva de muje

1 comment:

  1. mujhe to aaj pata chala ki aapka kavitaon ka blog bhi hai .... badhaai dhar sahab

    yadvendr

    ReplyDelete