Friday 8 March 2013

Mazdaar Mein Fasha Hoon

Main chand mangta nahi, aur sitare bhi door hain
Apne naaraz, dost khafa, aur sahare bhi door hain
Meri jaisee bhi hai haalat. main himmat nahi haara
Mazdaar mein fasha hoon, aur kinaare bhi door hain

Apnu ki khawahisun k liye. bachpana huva kharab
Apni galtiyun ka khud ko bhi. na main de saka jawab
Dusarun ko kya deta main achai burai ka hisaab
Kuch kar na sakka ab jab tootne lage hai khawab
Ka tarkeeb koi sujey hai, aur chare bhi door hain
Mazdaar mein..............

Kahan kar gaya main galti muje aaj tak pata nahi
Jisse bhi toot k chaha woh kyon mujko mila nahi
Begunah logon ko hi kyon pyar ki milti hai saza
Tujse mil paate mere dost toh poochte khuda
Par meri tarah tujse woh bechare bhi door hai
Mazdaar mein.....................

Kamyabi agar khusi deti toh mujse door na jaati kabhi
Bebasi mere ghar ki taraf phir na aati kabhi
Sakoon na mila chain na paya pa k shorat or taqat
Jis k liye hum ne kamai khoob daulat payi khoob izzat
Jeet k bhi uss k pass na aa saake, aur haare bhi door hain
Mazdaar mein..................

No comments:

Post a Comment