Tuesday 12 March 2013

Tere Bina Umar Gujari Maine


Tere bina umar gujari maine
Bazzi jundagi ki haari maine
Ab mujse aur jiya jaata nahi
Marne ki kar lee tayaari maine

Main ladki hoon pyar ik baar kiya hai maine
Isliye tera intazar saalun saal kiya hai maine
Dil mein tere siva kisi aur ko aane na diya
Khayalun se bhi kabhi door tuje jaane na diya
Teri yaadun k sahare din kaat liya
Teri baatun se raat savari maine
Ab muje.................................................

Tu ladka hai teri baat kuch aur hi hai
Par dil se bahadur nahi tu kamzor hi hai
Kisi bhi ladki ko dekh k nazrun ko mila sakte ho
Meethi meethi baatun se usse dewana bana sakte ho
Tuj pe koi ilzam bhi na lagaye ga
Chahe seene k paar ki hai aari maine
Ab muje.................................................

Vaada kar k bhi na tu vapis aaya
Tu hi bata pyar mein maine kya paya
Bebasi udasi se riste judh gaye they mere
Kahin na jaate they raste rukh gaye they mere
Bas muje hi haarna tha pyar k khel mein
Kyon ki chunn liya tha dil ka zuwari maine
Ab muje.................................................

No comments:

Post a Comment