Wednesday 6 March 2013

Apni Kar Apni Kar


Mujse kehta hai mera mann, Apni kar apni kar
Na kisi aur ki sunn, Apni kar apni kar
Teri Duniya hi teri hai, aur koi duniya nahi
Acche sapnu ko tu bunn, Apni kar apni kar

Seemahoon mein jee kar bhata kya tum ko mila
Ankhun k pyale na pee kar bhata kya tum ko mila
Yeh bhura hai yeh accha hai, bas tu soochta raha
Nek rah tujko na milli bas tu khojta raha
Teri masoomiyat tere bholepan pe log haste rahe
Tu pyar k kabil bhi nahi yeh taane bhi kaste rahe
Pyar kar k bhi tu kisi ko bata na sakka
Joh ghair ho gayi uss ki bhi tu bhula na sakka
Apne sulagte zazbatun ko hawa lagne de
Tere armaan joh soyen hain unnko jagne de
Badal de jindagi ki dunn
Apni kar Apni kar

Tu apne vaste bhi jiye ga yeh fesala tera hai
Jahan pe neend khul jaye wohin  savera hai
Abhi bhi nahi kuch bigra abhi jawaani hai baaki
Kar tu peena suru mil jayen ge saakhi
Ab agat tu na badla phir pachtaye ga
Wqat joh haat se nikla na laut aaye ga
Tamaam umar phir khud ko kosse ga jaan le
Phir tere saat na hoga koi tu yeh bhi maan le
Himmat khar pyar jatha  kisi ko bana le apna
Chod de dil mein raat din pyar ka naam japna
Tyahaarun se bana le raat din
Apni kar apni kar
-----------------------------------------------------------------
                            Gazal

Gamu se rista judha toh, maine yeh jaana hai
Khusi se dosti nayi thee, gum purana hai

Kaam muskil hai bada, lakin karna hai mujko
Dard se dil bhara hai, aur muskarana hai

Tu aayi milne toh khusi se roh liya maine
Phir rula dega mujko, joh tera jaana hai

Do char zakhm kha k hi kyon gabraye ho
Abhi mahobat hai nayi, naya fasana hai

Agar tu dil mein na rahe, toh na rahe ga dil
Is se bethar iss dil ka toot jaana hai

Ab chahe jaan bhi jaye, toh bhi mahobat hogi
Vaada joh "Chahat" kiya hai woh neebana hai

No comments:

Post a Comment