Sunday 10 March 2013

Main Tuje hi Doondata Hoon Teri Jindagi Le Kar

Chand roj atta hai chandni le kar
Tu mere pass chale aana bebasi le kar
Apne badepan ki numaish muje nahi karni
Phir bhi tere pass aavunga har khusi le kar

Tu ab tak jahan bhi rahi, rahi hai udas
Nadiya mein reh k bhi kyon na bujji teri pyas
Tuje sapne dikha k apnu ne diya dokha
Main jaanta hoon ho chukhi jindagi se nirash
Main tume palkun k garmaish de doonga
Jab tu aayegi ankhun mein naami le kar

Kitna bebas hoon kitna lachar hoon tum hi dekho
Jaisa bhi hoon tera pyar hoon tum hi dekho
Muje fakar hai maine mann se tuje chaha hai
Barsun se tera hi talabgaar hoon tum hi dekho
Main jaisa bhi mere pyar mein koi khoot nahi
Tu kab aaye gi mere pass meri kammi le kar

Bachpana rok tok mein gujra mann se jiya na tune
Apni marji se dood kya paani bhi na piya tune
Jawaani khud ko samajne mein dal gayi teri
Dusarun ko samajne mein bhi tune ki dheri
Apni marji se ab jee le sang ho le mere
Main tuje hi doondata  hoon, teri jindagi le kar

Main tera pehla pyar nahi phir bhi yaar hoon tera
Kabhi kabhi lagta hai main hi gunahgaar hoon tera
Tu bholi hai anjaani hai ya sayanni pata nahi mujko
Youn toh lagta kuch toh hai joh tujse jodhe hai mujko
Meri asmaani duniya tab hi poori hogi "Chahat"
Jab tu aaye gi mere vaste zameen le kar

No comments:

Post a Comment