Tuesday 16 September 2014

Srinagar - Kya Khabar Hai Iss Shehar Ki


Is shehar ki yeh khabar hai har khabar hai pani pani
Kyon huva kaisa huva par saara shehar hai pani pani

Pani ne mita diye hain chote bharun ke antar
Amirun ka ho ya gareebun ka har ghar hai pani pani.

Pani mein joh gujri kali raat woh kisi ko na bhoole gi
Subha bhi kaati thi pani mein aur ab dopehar hai pani pani

Yeh peerun fikeerun ka shehar isse kis ki nazar lagi
Khudrat ne joh yahan bakhshi thi woh mehar hai pani pani

Jis taraf bhi nazar jaye pani hi nazar aaye
Tehar ke karo ya naav se ab safar hai pani pani.

Charun taraf hai dikhta barbaadi ka hi manzar
Dil mein hai gamun ka sailaab aur nazar hai pani pani.

Iss shehar ke honsale bhi mujhe past lag rahe hai
Khawaisen bhi huvi hai geeli umeedun par hai pani pani.

Mar mar ke jin ki raatein kati hai un logon ka
Dil hai bada mayoos aur sabar hai pani pani

Kaya karen kaise karen jeene ki iss daud mein
Na manjil ka pata hai aur dagar hai pani pani.

Sailaab se lad raha apni tarah se har koi
Yeh kaise huva yeh sooch ke har basar hai pani pani.

Desh pe jaan lutane wale ab jaane bacha rahe hai
Kabhi unn pe chalne wala har pathar hai pani pani.

Muslim mara ya Hindu insaan hi mara hai
Astiyaan toh pani mein milti thi ab kabar hai pani pani.

Tabai mein bhi sayasat dekh ke har insaan dukhi huva hai
"Chahat" ankhen meri jhuki hai aur sar hai pani pani.



1 comment: