Friday 26 September 2014

Ghazal: Yaadun Ke Jamghate Se Main Bahir Nikal Na Paya

Yaadun ke jamghate se main bahir nikal na paya
Dil ki uljanu ka issliye koi bhi hal na paya

Seene ki jalan ki khatir pee maine sharaab kaafi
Ik baar joh main behka phir kyon sambal na paya

Beimanu ki is duniya mein main alag talag ho gaya hoon
Sachai aur imandaari ka maine koi bhi phal na paya

Gharun, galiyun, bazaarun sehrun ke badle hain maine nakshe
Par apne haatun ki lakeerun ko cha ke bhi badal na paya

Bhure waqt mein duva dava ka maine liya bahut sahara
Bhura mere saat joh hona tha lakin woh tal na paya

Barsun se barsun tak jeene ki ladai insaan lad raha hai
Par woh jitna bhi bane danish maut ko chhal na paya

Marzi se duniya chalti sabkuch kar leta main apne bas mein
Magar hakeetat mein mera dil bhi meri marzi se chal na paya

Meri arzooein itni ki poori ho sakti nahi ik janam mein
Maine aakhand banana tha jiss ko woh diya hi jal na paya

Kehte hain aakhiri waqt khuda ka naam lene mein sabaab hai
Jab zaroorat padi bolne ki mera lab khul na paya

Na jaane kis tarah se maine jingadi ke sarmaya ko lagaya tha
Sood kya milta mujko maine toh asal na paya

Kitne ghair logon ko maine badla apni salaha masvare se
Par mera apna hi bachha mere sanche mein dal na paya

Ghairn ke haq ki khatir maine chere pe chere badla
Par ma baap ki umeedun ka kazal main aakun mein mal na paya

Tuje chod ke ik baar joh chala aaya teri duniya se
Aey dost main jis mein laut aata koi aisa pal na paya

Waqt se saat na badalne ki payi hai saza maine
"Chahat" kisi ka dard bhara pyar mera dil se nikal na paya.

No comments:

Post a Comment