Friday 8 February 2013

Gazal Geet Aur Rubai

                             GAZAL

Dil todhne se pehle koi toh ilzam dena
Saza mahobat ki milni ho toh mera naam dena

Dard se meri yaari hai, zakham b dost dil k
kab yeh kaha maine koi aur innam dena

Oh dost ab k baar woh agar mile tujse
Hall pooch k unn ka mera salaam dena

Chupa k joh b hota hai sacha woh nahi hota
Nisaani apni mahobat ki unne sarre-aam dena

Yeh nasha sharaab ka kuch b nahi husan k aage
Yeh keh k pass bitha k unne ankhun k jaam dena

Yahan kuch b nahi milta paisun k siva Chahat
Mere dil mein rehne ka unne kuch toh daam dena

                  GEET

Zakhm dil k batavun toh batavun kis ko,
Dard ki dastaan sunavun toh sunavun kis ko,
Mere har dard ki dava tere siva koi aur nahi,
Nuksa saada hai likhavun toh likhavun kis ko.

 Joh bhi mere saat chala do kadam chal k chod gaya,
 Jis pe bhi bharosa kiya wohi chhal k chod gaya,
 Yaad rakhun kissey aur bhul javun kis ko.

 Dard akela nahi tu b toh iss k saat rahi,
Tadpaya tune bhi muje jab b mulakaat huvi,
Bata tu hi dil se nikalun kisse aur basavun kis ko.


                      RUBAI


Kuch sawalun k jawab nahi hote,

Kuch ankhun k liye khawab nahi hote,
Kantun pe chal k jeena ab jindagi hai meri,
Kyon ki sab k naseebun mein gulab nahi hote.




No comments:

Post a Comment