Thursday 14 February 2013

Pyar Mahobat Aur Poetry


Pyar Kya Hai

Teri ankhun se padh liya maine, woh sabak joh mujko padna hai
Aaj phir jee k dekha maine, aaj phir mujko marna hai

Tu chali jaye gi chod k mujko, yadun k saat jodh k mujko
Logon ko kuch samaz na ayyegi, tu jayegi todh k mujko
Abhi himmat muje dikhani hai, abhi sadme se ubharna hai

Tera mera ajeeb rista hai, tera mera alag kyon rasta hai
Pyar mein aisa kyon hota hai, ghair hi aa k dil mein basta hai
Tune ankhun mein rakha hai mujko, tere dil mein muje utarna hai

Pyar khona aur paana hi nahi, pyar ki baat hi nirali hai
Pyar khele dharkanu se holi, zazbun ki aag se diwali hai
Log kehta hai aag ka darya hai, mujko b aag se gujarna hai
--------------------------------------------------------------------------------------------------
Wqat rukh jaye ga tham jaye tere aane se,
Baat main kehna chahata hoon saare zamane se,
Kya Tuj ko dekh k mujko chain aaye ga,
Khud ko b azmaa loonga isse bahane se

----------------------------------------------

Tum duniya ki hi baat karu,
dil ki toh kuch kar sakte nahi,
Apni marzi se joh jiye na kabi,
marzi se woh mar sakte nahi

 ---------------------------------------------
Tune jab se saat choda hai, bandanu se azad rahe hai hum
Isliye akele hi jindagi bhar, tere baad rahe hai hum
Logon ke samne muskarete, haste khelte rahe
Dil hi jaane dil se kitne,barbaad rahe hai hum

 -----------------------------------------------------------------
Duvayen kaam aati toh aisey halaat na hote,
Aap k badle gamun k bhoj hamare saat na hote,
Humne apne aap ko kab ka maar dala hota,
Agar aaj b aap dharkanu k ass pass na hote.

--------------------------------------------------------

Tum tanha chod k javo ge, itna pata na tha,
bewafai bhi kar javo ge, itna pata na tha,
itna sabkuch hone k baad bhi,
tum dil se na javo ge, itna pata na tha

-------------------------------------------------------------------------------

Tuje dil de k kya paya, koi pooche, kahun kya main,
Na mili rahat na chain aaya, koi pooche, kahun kya main

1) Ankhun se choom k tumko, sansun mein basaya tha,
    khali sunsaan tere dil ko, mahobat se sazaya tha,
    pyar se seench k hum ne, ik gulshan khilaya tha,
    pyar ki dhali dhali ko khizan se bachaya tha,
    khila tha pedh kyon murjaya, koi pooche, kahun kya main

2) Main apne dil ki haalat ka tume ilzam na doonga,
    koi kuch b kare lab se tumara naam na loonga,
    jitna b diya tumne pyar woh b accha tha,
    main duniyadaari na samza sahid chota bachha tha,
    luta kya mera sarmaya, koi pooche, kahun kya main.

----------------------------------------------------------------

Joh log yaad aate hain wohi ho apne hote hain,
Joh khuli ankhun se dekhe jayen wohi toh sapne hote hain,
Bhuri woh ho nahi sakti mahobat naam hai jis ka,
Dukh dard bebasi nakaami chahey inaam hai iss ka.

-----------------------------------------------------------------------------------

Umar tere bina aisay gujari hai, jaise jindagi ki baazi haari hai,
Tujse bichrey huve barsun huve hai phir b, meri har sans aaj b tumari hai,

Yadun k mausam sada khusgawar nahi hote,
Logon k samne hum b toh nahi hai rote,
Akele mein kya hota hai koi na samze ga,
Baaki ka wqat b tere bina hi gujre ga,
Tera naam aate hi aisa hota hai kyon, dil ki badh jati bekarari hai

Nassebu k haatun lute hai khabar hai sab ko,
Maante hai hum aaj b apne ussi rab ko,
Jis ne tumse mila k juda kar diya mujko,
Sach poocho toh fanha kar diya mujko,
Kisi se keh nahi sakhte magar sach hai, tu aaj be humko khud se pyari hai

Tujse milne ki tamanna aaj b dil mein rehti hai,
Mere andhar koi cheez hai joh mujse kehti hai,
Sahid tu b muje utna hi yaad karti ho,
Jitna main marta hoon tujpe utna marti ho,
Dil pe phir b chal rahi hai kab se, wqat k pass joh tez aari hai

 -------------------------------------------------------------------------------------

Duniya se jeet k b main khud se haara hoon,
Isliye hi ban na saka tumara hoon,
Tu muje dekh toh sakti ho par pa nahi sakti,
Ttere asmaan ka main ek dundla taara hoon.
 ----------------------------------------------------
Meri sasun mein ik ajab se bekarari hai,
dil ki dharkan jab se huvi tumari hai,
tu nahi saat toh kuch b na apna lage,
kehne ko youn toh mere pass duniya saari hai.

---------------------------------------------------------------------------------------------

                       Naya Saal
Naya saal ka youn swagat karo,
sabi khus rahe yeh ebadat karo,
shikwa gila b jis se ho tumko,
uss se b sachi mahobat karo,

1) naye saal mein naye suraj ki kiran,
mita de dilun mein joh b hai chuban,
ankhun ki udasi khusiyun mein dhale,
ho jaye thandi seene ki agan,
apnu se sabi karte hain pyar,
ghairu se b ab tum chahat karo

2) koi beti ab na grab mein mare,
 koi behan dahej ki suli na chade,
 kisi aurat ki izzat na lute,
 koi doshi saza k bina na bache,
sadak pe kisi ka khoon na mila,
samaz ki tum aise halat karo

3) dusarun ko sudaarne ki hi na baat ho,
   apni atma se apni b mulakaat ho,
   hum sab apne b dil mein jhank k dekh le,
   khon doshi hai yeh bhanp k dekh le,
   acchai se kar lo dosti,
    burai se tum bagawat karo

-------------------------------------------------------------------

                               
Bewafai ko teri mauf kar k, dard milta raha yeh kya kiya maine,
Na tera hi huva na main raha apna, jindagi ko tukhdu mein jiya maine.

1) pyar tum ko joh diya maine, kyon diya is ka koi jawab nahi,
 tujko hakeekat mein bana liya apna, dekha tere kabi kyon kawab nahi,
 is kadar is siddat se tu dil mein utari k rag rag tu machalne lagi,
 jaise jaise badti gayi teri chahat vaise hi jindagi meri badalne lage,
 tere khatir tere liye, joh na karne they kaam woh b kiye,
 dosti yaari ristedaari aur duniya, sab ko kurbaan kiya maine.

2) maanga tujko nahi khuda se magar saat k liye duvayen karta hoon,
 tu kahin chod na jaye mujko raat din is khayal se darta hoon,
 kaisa ajeeb sa khel yeh mahobat hai, jis k liye jeeta hoon ussi pe marta hoon,
 nazar apni hi lagi pyar ko apne, toot gaye. Joh b dekhe they sapne,
 ab dard se pet bhaa mera aur khoon ka ansu piya maine.

------------------------------------------------------------------------------------

Pyar ki kisi ko kadar hai kahan,
Dil ki baatun ka sab pe asar hai kahan,
saat ik raat ka ab chalan hai yahan,
umar bhar joh saat de humsafar hai kahan,

Jis rah b chala dokha khata raha,
geet pyar ka magar gungunata raha,
seene mein le k zakhm apnu k,
chere se main sada muskarata raha,
 mandir maszid gurudwarun mein bheed mili,
dakha mukhi main b toh khata raha,
 na khuda ka hi mujko deedaar huva,
 na main apnu ka hi yaar huva,
har rah pe thake haare rahi mile,
 ristedarun mein hi kasai mile,
 dil k tukhde mile gulistanu mein
 ashiq sache mile mehkhanu mein,
 joh muje mere yaar tak le chale,
muje bata do woh dagar hai kahan?

 ------------------------------------------------------------------------------------------------------
Dava ki zaroorat nahi muje duva dijiye,
Sanse ukhar rahi hai thodi hava dijiye,

1) tere khayalun mein khon hai mujko pata nahi,
dil khon basta hai chere pe likha nahi,
apne kareeb rakhte ho tum bahut hi khas log,
tere didaar ki rakhte hain hum jaise aas log,
 jee jayen ge apni ik nigha dijiye.

2) wafa ki jinne samaz nahi woh bane hain wafadaar,
 wohi pyar ka falsafa padhatey hain jinne aata nahi hai pyar,
 ruswa wohi hote hain joh marte hain pyar pe,
 chalna unne padhta hai kanton ki taar pe,
 aise hi hum b hain hume b saza dijiye

-----------------------------------------------------------------------------
Jeene ki khawaish mein yahan roj marna padta hai,
dil jisse karna na chahe wohi kaam karna padta hai,
pyar karna pyar paana aasaan nahi hota hai,
 iss k vaste toh hadh se gujarna padta hai,
koi aisa nahi is jahan mein, jisse dard k bina pyar mila ho,
 jaisey darya paar karnne k liya paani mein utarna padta hai,

yeh duniya ajeeb hai aur ajeeb hai chalan iss ka,
k joh jaan se pyara ho, ussi k liye tadapna padta hai,
main kahin bhar yeh sooch k chup ho jata hoon Chahat,
k pyar paane k liye kyon aurat ko savarna padta hai

---------------------------------------------------------------

Umeed pe hi khayam hai duniya, umeed ka na tu chodna daaman,
nafrat ki chahe jitni ho baaris, pyar ka hi tu odhna daaman,
 saat milna ya judha hona yeh khel hai naseebu ka,
kho k b kisi ko na visvaas ka na todhna daaman

------------------------------------------------------------------------------------------

Dard-o-gum se mera dil aabaad kiya hai tune,
 khon kehta hai k muje barbaad kiya hai tune,
wafa k badle mein bewafai ka toofa de kar,
kasmu vaadu se muje khud azad kiya hai tune.

-----------------------------------------------------------

Door kar rahi hai logon se meri sachai mujko,
panapney kyon nahi deti insaaniyat aur achai mujko,
yeh ajeeb sa morh aa gaya hai jindagi ki rah mein,
 k akela chod rahi hai meri hi parchai mujko

-----------------------------------------------------------------


Pyar ki har baat khud jis ne shekhayi mujko,
 kyon samaza na paya wohi pyar ki gehrai mujko,
maine toh apni haalat ka ilzam kisi pe lagaya hi nahi,
phir kyon de raha hai woh apni safai mujko,

Raat aayi magar neend na aayi mujko,
soney nahi deti kyon teri judai mujko,
yeh kya huva hai muje aisa kabbi huva na tha,
apni lagne lagi hai koi cheez parai mujko

--------------------------------------------------------------------------------------

Muje chahiye teri rooh dilo jaan mein sada basne ki jagha,
main koi khawab nahi jisse tu raat ko dekhe aur bhool jaye subha

------------------------------------------------------------------------

Khusi jab tak mere pass rahi tum rahe pass mere,
tumne chod diya muje jab meri jindagi ka sawaal aaya,
Main b ajeeb insaan hoon tere bina jee sakta nahi,
Khusi mein b yaad kiya tuje dukh mein b tera khayal aaya.
--------------------------------------------------------------------------

                                     WQAT

Wqat khud hi sawaal pooche hai, wqat khud hi jawab deta hai
Tune accha kiya ya kiya hai bhura, yeh sab ka hisaab leta hai

Sab ko bandatata hai tofey halke bhari, ek din aati hai sab ki bari
Neerash kisi ko yeh karta nahi, rehmatein is ki kab se hain jhari
Jindagi ko deta hain sanse, mann ko deta hai mann ki ankhen
Jis ke pass hoti hai kalam pyar ki, uss ko hi dil ki kitab deta hai

Wqat jab meharbaan hota hai, tab hi insaan ka naam hota hai
Wqat ulti jab chal chalta hai, raja b tab gulam hota hai
Wqat ki izzat joh karta hai, mar k b woh kabi na marta hai
Wqat ki dekho kaise duniya hai, kante ko hi gulab deta hai

Wqat se dosti karna seekha hai maine, tum b seekho jaldi
Apne dil k zakmu pe laga lo, meri tarah tum be pyar ki haldi
Pyar ka saat wqat deta hai sada, kisi na kisi dil mein sab ko milti hai jagha,
Mujko dee hain iss ne teri ankhen, saraabiyun ko yeh saraab deta hai

----------------------------------------------------------------------------------


Muskilen sabak joh deti hain woh sacha sabak nikla
Loha tab hi bana sona tap ke aag se jab nikla
---------------------------------------------------------------------------------------
This poem is for my Nani- Maternal Grand Mother


                                Ba Ji
Jab tak rahen ge jinda, tu hum ko yaad rahe gi,
Tere ashirwaad se apni, duniya aabad rahe gi,
Jeete ji b Ba aap ne hum sab ko, di hain khusiyaan,
Mar k b tere duvahun ki, paari nabaad rahe gi,
Duniya k janjalun se, aaj mili hai tujko mukti,
Jeene marne k bandan se, ab tu azad rahe gi,
Teri har ek sheek aur salaha ko, hum ne sada hai maana,
Teri ahemeyat hamare dilun mein tere b baad rahe gi,
Tujko apne jeewan se hum door na jaane denge,
Jeewan roopi baghiya mein tu ban k khad rahe gi,

No comments:

Post a Comment