Wednesday 6 February 2013

Main Rohti Nahi

Hello Friends I am writing this poem to highlight the tensions and turmoil that a girl faces in her life. This poem is more relevant in view of current protests by masses against the crimes against women in recent times.


Main Ladki hoon mere janam pe, kisi ko khusi hoti nahi
Mere peda hone pe sab rohte hain, isliye main rohti nahi

1) Ma ko bhi dosh de sakti nahi, mere hone se hi dosh ussko mile
    Bhai hota toh izzat badti usski, ab dukh dard ka kosh ussko mile
    Mere barre mein bhi kuch sooch leti woh, dusari jimmewariyun se agar hosh ussko mile
   Pyar chahe woh muje de paati nahi, pyar usska magar mein khoti nahi
Main Ladki hoon ........

2) Mere papa bhi mere dushman nahi, par bhoj mujko woh bhi samazte rahe
    Dusarun k kehne pe chalte rahe, apne dil se kuch na karte rahe
    Mera koi gunn unnko gunn na laga, bhai ki galtiyun ko woh dakte rahe
    Acche bhure ki mujko samaz hain kahan, meri ankhun mein gyan ki jyoti nahi
Main Ladki hoon..........

3) Bhaiya mera sahara kya banta, woh khud hi besahara raha
    Laad Pyar se itna bigharta gaya, k sada hi kismat ka maara raha
   Usse padhane mein ma ka mangalsutra bhika, aur bhiki uss ki churiyaan
   Papa b karze mein bhoobe khwaasein phir bhi rahi usski aaduriyaan
   Maine bhi uss k liye duvayein ki, kismat phir bhi usski sooti rahi
Main ladki hoon ..........

4) Main Kaali Sita Radha banni, kisi k liye na badha bani
    Janni ban k soorveer peda kiye, ardhangni ho k bhi bahut zayada bani
    Khabi Jhansi ki Rani kabhi Indra bani, Meri godh mein joh aaya toh Nidra bani.
    Maine har kaal mein, maine har saal mein
    Khaye hai zakhm aur sahe hai dard
    Jaise bhi rahi rahi Mamta bhari
    Mera anchal huva hai kabhi bhi na sard
   Khusiyun ko ab bhi hoon bhanti, Kabhi ansuvun ki maala piroti nahi
   Main Ladki hoon.......




No comments:

Post a Comment