Tuesday 12 February 2013

Kismat Aur Pyar

                                 Kismat

Mere sarre khat u phar de, sarre sabot de mita
Phir bhi badal na paye gi, tu kismat mein joh hai likha
Tujko mera hi hona hai, vishvash muje kismat pe hai
Abhi bahut aage chale ga, apne pyar ka silsilla.


Tere mera koi rista nahi tha, kon is pe viswash karega
Zamin agar kuch na bholi, toh feshla aakash karega
Insanu k bas mein hota, toh humko na koi milne deta
Baharun k mausam mein bhi, phoolun ko na khilne deta
Yeh kismet ka khel tha apne pyar ka phool khila


Teri duniya mere jahan se alag hogi soocha na tha
Tera hone se pehle dil se bhi kuch poocha na tha
Pehli nazar mein tum huve they apne,dekh liye they humne sapne
Asmanu pe hum udhne lage they saat tuje le ke apne
Kise dekhayen kise batayen dard dil mein joh hai chupa

Ik taraf pyar hai ik taraf zamana, kis ko chunu kis ko chodun
Soochta hoon apne dil ki khatir, kis kis ka ka mian dil thodun
Apni khusi k liye sab jeete hain, main bhi jeena chahata hoon
Jis k saat sans le sakun ik aisa seena chahata hoon
Aey dil tu apni duvida ko kisi aur ko na suna


-----------------------------------------------------------------------
                       Mishri Ki Dhali

Main sasun mein gul javun gi, ban k khusboo teri
Tere chune se khil javun gi, pyar ki hoon main kali
Main karele see kawdi nahi, na hi imli see khati
Mujko chak k tu dekh le, main hoon mishri ki dhali

Tujko cha ha tujko pooja, har dam tera naam liya
Jab se hosh sambhali hai bas itna sa kaam kiya
Ab toh aaja darash dikha ja, ankhun mein sookhe hain ansu
Dard se bezzar ho k, jhor jhor se kooke haim ansu
Mann mein tadap hai tere pyar ki, par dikhti hoon acchi bhali

Teri khatir tere liye, sab se dushmani kar lee maine
Tujko apna bananey ki cha mein, tomat apne sar lee maine
Phir bhi kitna tu nirmoi, tujko mujpe taras na aaya
Vaada kiya tha kal aane ka lakin poore baras na aaya
Tere intazar mein har din, dil roya aur kaya jhali

Tu aurun se bilkul alag hai, tere hunar ka kya kehna
Main bhi kuch kam nahi hoon, mujpe sazze kapda gehna
Mere bhi deewane lakhun, mujpe bhi marte hain ashiq
Jhuki jhuki ankhun hi se salaam muje bhi karte hain ashiq
Kyon ab mujko lagne laga hai, pyar mein main bhi gayi challi

Aaj tujpe marti hoon janam, kal ki kis ko hai khabar
Kal jawani bhi dal jaye gi, nahi rahi gi baali umar
Aaj hi kar le joh karna hai, jeena hai ya phir marna hai
Aaj sabkuch de sakti hoon ‘Chahat”, phir toh meri bhi na hai
Ab hi bhar le mujko bavun mein, nahi toh phir main chali




No comments:

Post a Comment