Monday 25 February 2013

Gazal Aur Geet

Chaal woh chalte gaye, par mera jawaab baaki raha
Pyar mein apne beech ka, dekho hisaab baaki raha

Dard aur zakham k siva uss ne kya diya mujko
Dil se woh nikal bhi gaya, lakin aajaab baaki raha

Woh haseena apna sabkuch luta k bhi na yeh jaani
Khusboo urdh gayi toh, phir kya gulaab baaki raha

Woh toh Taj Mehal ki tarah hamesha haseen lagti hai
Umar dal gayi usski, phir bhi shabaab baaki raha

Ghair ki ho gayi hai woh yeh jaan k bhi 'Chahat'
Usse paane ka uss k hone ka kawaab baaki raha

-------------------------------------------------------------------

Begunahai ki saza kaat k, dil ko gehra sadma laga, dekh le
Joh dil aurun ko bhi khush rakta tha, uss ko tu bhuja, dekh le

Dekh le pathar dil logon ka chalan
Hone dete nahi joh kisi ka milan
Pyar pe joh pehre lagate sada
Pyar karne ki joh dete saza
Wohi log aajkal k khuda ban gaye
Paise wale hain tabi toh juda ban gaye
Pyar k mausam ab pehle jaisey nahi, badli badli saari hawa, dekh le

Pyar k dushman k farmaan jab aate hain
Pyar karne walu ko tharraate hain
Kyon pyar bebas ho jaata hai
Kyon khatam har ras ho jaata hai
Dil k zazbe  bhi kyon zakhm khaate hain
Mazboot dil bhi pal mein toot jaate hain
Pyar kar k bhi apni jindagi, kyon huvi bemaza, dekh le

No comments:

Post a Comment