Friday 22 February 2013

Riste Naate

Riste Naate yahan bas naam k
Tere mere hain yeh kis kaam k

Pyar mein dard kon sehta hai aajkal
Saathi saare yahan hain aaram k

Janmu ki baat karna gunha ho gaya
Riste ho gaye ik raat ik sham k

Kon hai joh jahan mein bikta nahi
Jagre hain toh bas daam k

Tu dil se hai heera koi dekta nahi
Deewane saare hain surat aur cham k

Jo jeeta sabhi uss k ho gaye
Saat chalta nahi koi nakaam k

Rawan Wadi aage bhade ja rahe
Peeche ho rahe hai chaley kyon Ram k

Pyar kar k Chahat kahin k na rahe
Na Radha hi mili na rahe Sham k.

___________________________________________________


Joh khoya joh bhi paya, sab yahan reh jaye ga
Tera jism teri kaya. sab yahan reh jaye ga

Riste Naate Pyar mahobat tere kis kaam k
Yeh duniya yeh moh maya, sab yahan reh jaye ga

Mehal Chubare Bangle Gadi kuch na jaye ga saat
Teri yaaden tera saya, sab yahan reh jaye ga

Saat tere bas jayen ge tere acche bhure karam
Paisa tune joh kamaya, sab yahan reh jaye ga.

_________________________________________________


Wqat haatun mein aa aa k nikal jata hai
Joh bhi samettha hoon main woh bikhar jata hai

Sab log hain akalmand par koi na jaane yeh
K insaan jahan se ja k kidar jaata hai

Tum ko bhi hai seekayat mujko bhi hai gila
K pyar jis se hota hai kyon badal jaata hai

Pyar ussi se hota hai joh jaane anjaane mein
Pehli nazar mein hi dil mein uttar jaata hai

Mera khud pe hi koi asar nahi hota "Chahat"
Jisse bhi chu loon main woh toh nikhar jaata hai

_____________________________________________



No comments:

Post a Comment