Wednesday 13 February 2013

Dost Aur Tera Badalana

                              Dosti

Aey dost mere apni dosti ko, badnaam na hone de
Log karen ge donu ki burai, aisa kaam na hone de

Dosti muqaddar se milti hai yahan, sab ko milti nahi
Jaise baharun k aane par bhi, har saakh khilti nahi
Hota hai Kuch khas pedhrun pe hi panchiyun ka basera
Vaise hi kuch khas aur alag hai yeh rista tera mera
Ghar ki ladai ko ghar mein hi rakh, khule aam na hone de

Duniya mein aisee koi dosti nahi, jis mein gila shikwa na ho
Hum donu ki manjil hamesha hai ek, chahey ek rasta na ho
Aaj k gile aur shikwun k liye, daav pe laga na dosti
Dil bhi hum ko saza dega, aur duniya bhi rahegi kosti
Haari dosti toh hum haare ge, jindagi nakaam na hone de

----------------------------------------------------
 
                     Wqat ki Chal

Wqat ne badli joh chal, toh tere chalan badal gaya
Chera badalata toh theek tha, kyon tera mann badal gaya

Hawa k rukh k saath joh log nahi badalte hain
Tarashe jaate hain joh woh pathar heera bante hain
Har mausam mein ek say hain, chahey sawan badal gaya

Pyar badle yaar badle aaj kal kaya badalata nahi
Kisi bhi dil mein aajkal ek deepak kyon jalta nahi
Kisi ki badli bindi, kisi ka chandan badal gaya

Aey dost sab ko dekh k kyon tune bhi badali rahen
Aaj bhi din raat tum ko bulati hain meri bahen
Tu bata kya teri kalai badli ya tera kangan badal gaya

Dukh aur sukh donu marre, par main pehchaan na saka
Koun mera apna hai inn mein, main yeh jaan na saka
Ik ne badli kabar, duje ka kafan badal gaya

Barsun baad apne sehar gaya, toh mujko pata chala
Koun see dewaar ghiri, aur koun sa guncha hai khila
Kuch saalun mein hi yahan ka kan kan badal gaya

----------------------------------------------------------

           Yeh kaisa Badlana 

Tujko badalne chala tha par khud hi badal gaya
Batakne laga tha behak gaya tha lakin sambhal gaya
Sang sang chalte chalte yeh kaise ho gaya
K tu dusare ka saath le k aage nikal gaya


1) Bewafai kar k b tere chere pe darr nahi
Meri minnatun ka b koi tujpe asar nahi
Aisey k jaise wqat sang huva hi basar nahi
Tu keh rahi bhool ja kal kyon k kal nikal gaya

2) Saare jahan se lad k tere huve they hum
Hume yaad hai jab pehli bhar tujko chuve they hum
Uss pal hi dilu o jaan sabkuch tujko diye they hum
Ab sansen ukhri ukhri hain aur ankhun se jal gaya

------------------------------------------------------


Eradey Nek hain mere, wafahen sachi hai apni
Khuda mujko sila dega
Meri sachai ka ik din,
Main sab k kaam aata hoon
Badle mein kuch nahi chahata
Log bhi maane ge loha
Meri acchai ka ik din

 ----------------------------------------------------------------

Tu chali aa k tere liye, umeedun k chirag jalaye betha hoon
Tu aa rahi hai yeh baat, aaj phir sab se chupaye betha hoon


1) Mujko maloom hai hamesha ki tarah aaj phir tu na aayegi,
    Meri machalti huvi umeedun ko ek bhar aur todh jaye gi
    Salun se main tanha hoon meri tanhai mit na paye gi
Phir bhi dekh main kitna bhola hoon aur sapne sazaye betha hoon

2) Tera milna mere sang chalna sapne se kuch kaam na tha, 
    Baat yeh bhi sachi hai tujse pehle koi gum na tha,
    Par maza jindagi mein jitna aaj hai aisa kabi sanam na tha
   Tu pyar de ya dard de dil tujse hi lagaye betha hoon.

---------------------------------------------------------
Hasrat bhari nigha se kabhi toh dekh le,
Kal pher lena tu nigha abhi toh dekh le

1) Main moun se keh saka na k tumse pyar hai,
    Tune vaada nahi kiya phir b intazar hai,
   Tere liye joh dil mein cha hai woh dhabi toh dekh le.
2) Tu door rahe gi ya pass taqdeer batayegi,
    Tere bina chain se muje mout bhi na aayegi,
    Bhuje gi joh kabi na pyas dil mein jaggi toh dekh le.

No comments:

Post a Comment