Friday 10 October 2014

Nazm: Koi Nahi Karta Hai Pyar Muhje

Koi karta tha kitna pyar mujhe
Hone na deta tha bekaraar mujhe
Waqt se pehle milne aata tha
Karne na deta tha intazaar mujhe

Waqt ke saat woh bhi badla
Mizaz duniya ka dil na samja pagla
Ek sa rehna sada mere kaam na aaya
Uss ko shayid mere dil mein aaraam na aaya
 
Dil se nikla aur khein door gaya woh
Khusi se nikla ya mazboor gaya woh
Baat uss ki hai woh hi jaane
Pyar ke mere liye badal gaye maane

Dil mera dard se toota bhikra
Sunna na paya kisi ko dil ka dukhra
Na jaane kis ki lag gayi hai nazar
Chod ke chala gaya hai yaar mujhe.
Joh karta tha bahut pyar mujhe

Ab mera dil bekaraar rehta hai
Dard se tadapta kuch na kehta hai
Vaada koi mujh se karta nahi
Phir bhi intazaar rehta hai

Waqt haat se dheere se nikla
Badalne wala mausam sa badla
Dil ki dharkan mein dard basta hai
Dil mera mujhe hi dekh hasta hai

Wafa ki umeed dil se jaati nahi
Yaad aati hai phir bhi aati nahi
Yaad ankhun mein sapne laati hai
Tees dil ki bhool jaati hai
 
Phir se umeed dil mein jagti hai
Duniya badli se jaise lagti hai
Par naye khel ke baare mein sooch ke bhi
Yaad aati hai meri haar mujhe
Chod ke gaya tha mera pyar mujhe

Purani nayi baatun mein fas jaata hoon
Feshla kuch bhi na kar paata hoon
Mujhe tarah tarah ke khayal aate hain
Dil ke phool khile hain murjaate hain

Kabhi dar kabhi umeed ka saat mein le ke
Kabhi taqdeer kabhi tadbeer ko haat mein le ke
Pyar ke baare mein soochne lagta hoon
Behte ansuvun ko rokhne lagta hoon

Kisi ki bewafai par bhulai jaati nahi
Baat joh dil mein chubi thi dil se jaati nahi
Jis ki bewafai mauf ki wohi kar gaya bewafai
Aaj tak seene le lipti hai kyon uss ki parchai

Kyon uss ko yaad kiya bina jee nahi paata
Ya yeh kaho uss bin muje jeena nahi aata
Par jee raha hoon yeh bhi toh sachai hai
Main uss ka aaj bhi hoon joh kab ki parai hai

Kyon jindagi mein kuch bhi accha nahi lagta
Apna wazood bhi mujko sacha nahi lagta 
"Chahat" aaj jindagi lagti hai bekaar mujhe
Kyon ki koi nahi karta hai pyar mujhe.

No comments:

Post a Comment