Friday 7 June 2013

Kuch Bhi Na Haat Aaya

Pyar kar k, kisi pe mar k, kuch bhi na haat aaya
Imandari kar k, burai se darr k, kuch bhi na haat aaya

Woh log hum se bethar sabit huve hain
Joh pyar ka matlab bhi nahi jaante hain
Woh seerheeyan oonchi oonchi chad gaye 
Isliye hum ko chota maante hain

Sacha pyar kar k humne dard paya
Unn k pass bhi na fatka gum ka saya
Hum paap punye k chakkar se na nikal paye
Unnune jhoot bhol k kitne mehal banaye

Woh jism tak hi rahe kush rahe, jism k aage kuch na soocha
Hum atma k saat judh rahe, kyon dhukhi ho kisi ne na poocha
Pyar ki pooja kar k, rooh mein uttar k, kuch bhi na haat aaya

Keetabun mein imandaari acchi lagti hai
Hakeekat mein is ki deewar kachi lagti hai
Khoonkaar zaalim logon ki soobat mein
Muje apni sachai choti bachi lagti hai

Meri sachai k saat main khud hi chal na paya
Sachai ka pedh lagaya maine lakin phal na paya
Dusarun ko khush rakhne ki cha mein maine
Apne se hi apne dil ki baat karne ka pal na paya

Kya maqsad hai meri jindagi ka, isse bhool gaya tha main
Apne pass hi laut aana tha mukil, itna door gaya tha main
Toofannu se ladai kar k, dhoob k tar k, kuch bhi na haat aaya

No comments:

Post a Comment