Monday 10 June 2013

Maut Se Main Kabhi Darra Hi Nahi

Maut se main kabhi darra hi nahi
Jindagi ne mujko daraya bahut
Din bhi mere badi muskil se katte
Raat ne bhi mujko jagaya bahut

Dil ki baat tune mujse na kari
Ghair se muje woh sunni padi
Jawani ki dehleez pe aate aate
Tu achanak ho gayi itni badi
Aisa kar k tune dekh kya kiya
Bana diya mujko paraya bahut 
Maut se main kabhi darra...........

Maine apna samaz k tujko sanam
Teri taraf badaya they apne kadam
Bina maange hi dil tujko diya
Khud hi vaada kiya khud hi khai kasam
Pyar ki par tune kadar na ki
Dard mere dil ka badaya bahut
Maut se main kabhi darra..................

Sabhi logon ki izzat main karta raha
Bhura kaam karne se darta raha
Phir bhi mujko mera haq na mila
Jeene ki chah mein har roj marta raha
Matlabi saari duniya hai yahan
Apna ban k "Chahat" sataya bahut
Maut se main kabhi darra.....................

No comments:

Post a Comment