Thursday 13 June 2013

Sach Hona Hai Ek Din Maine Joh Sapna Bunna Hai

Dil ko behlana phir chodna, kehte hain husan ki ada hai
Magar kisi ko dokha dena, sab jaante hain gunha hai
Phir bhi dokha dene wale bhi hain, aur khanewale bhi
Maine bhi khaya hai, kya tune logon se sunna hai

Pyar ik baar kar k jab tumko banaya hai apna
Hakeekat bhi tumi ho, dekhta hoon tera hi sapna
Tere bina kisi aur ka khayal bhi, dil mein aane nahi deta
Aur teri yaadun ko khud se kabhi bhi, door jaane nahi deta

Dil joh toota tha mera woh judh na payaga
Par pyar sacha mila toh dil ko sakoon aayega
Haare huve ashiq pe tune pyar lutaya sukhriya tera
Maine apni har ik sans pe naam likh liya hai tera

Aisaan tera bahut hai mujpe ek aur karde
Mere kaanu mein aa k bata tune kyon mujko chuna hai

Tum roshni ki kiran ban k meri jindagi mein aayi ho
Lo mein bhi joh saat rahe tum aisee parchai ho
Tere aane se pa liya hai maine jeene ka maqsad
Paar kar javun ga main ab pyar ki koi bhi had

Iltaza yehi hai tujse k youn hi muje chahate rehna
Apne dil ki har ek baat mujko batate rehna
Apna riste itna gehra ho k tu uss pe naaz kare
Main apni jaan bhi luta doon agar tu awaz kare

Tu meri saari umeedun pe uttar rahi hai poora
Sach hona hai ek din maine joh sapna bunna hai

No comments:

Post a Comment