Thursday 6 June 2013

Main Phir Bhi Udas Hoon

Muje har khusi mili hai, main phir bhi udas hoon
Tu mere saat bhi chali hai, main phir bhi udas hoon

Meri salaha lene log, aate hai kahan kahan se
Meri baat pathar pe lakeer, ho jaise asmaan se
Meri har jagha chali hai, main phir bhi udas hoon

Maine paisa bhi kamaya, maine naam bhi banaya
Haseenu k sang bhi khela, ankhun ka jaam bhi banaya
Meri charcha gali gali hai, main phir bhi udas hoon

Jhonpri se maine apna mehal bhi banaya
Bhook mitane ko khub maine piya aur khaya
Sehat bhi acchi bhali hai, main phir bhi udas hoon

Jhoot sach bol k imandhari ka dhong rachaya
Ulte seede kaam kar k, kuch mere haath bhi na aaya
Sansun mein na khal bhali hai, main phir bhi udas hoon 

Jis podhe ko seench k, maine phed banaya tha
Ab ja k "Chahat" jaana, woh bhi toh paraya tha
Phed ki har saakh bhi phali hai, main phir bhi udas hoon

No comments:

Post a Comment