Thursday 6 June 2013

Kaam Ka Tha Main Bekaar Hone Laga Hoon

Begunha tha gunhagaar hone laga hoon
Kaam ka tha main bekaar hone laga hoon
Bebas hoon jaisay chal rahi hai jindagi 
Apne hi raste ki dewaar hone laga hoon

Kaise wqat ne muje badla heyraan hoon
Apne badle halaatun se paresaan hoon
Kyon sahi fasela mujse hota nahi
Aise bhi main nahi k naadaan hoon

Hotun pe banawati muskaan hai
Dil mera abhi bhi veeraan hai
Tere aane se kuch bhi badla nahi
Yeh kehna bhi tera apmaan hai

Yeh ajeeb sa mode aaya hai jindagi mein
Burai karne ko tayaar hone laga hoon
Kaam ka tha main bekaar......................

Apni umeedun pe hi khara utaar na saka
Joh karne chahata tha woh kar na saka
Apnu ko khusiyun doonga yeh soocha tha
Par apna daman hi kyon bhar na saka

Log muje devta sa samajte hai kyon
Main toh accha insaan bhi ban na saka
Saat sachhe log k bhi na chala
Aur jhoot k aage bhi tan na saka

Theek apne aap ko karte karte 
Phool se kyon khar hone laga hoon
Kaam ka tha main bekaar.........................

No comments:

Post a Comment