Wednesday 5 June 2013

Jab Se Padi Hai Tere Nainu Ki Bhasha

Jab se padi hai tere nainu ki bhasha
Mere mann ki har ik asha machalne lagi hai
Allad meri jawani, phele badi thee daani
Apna chalan yeh bhi badalne lagi hai

Woh bhi din they,main apne parun pe, kisi ko bhi haat rakhne na deti thee
Madhosh rehti thee fikar na karti thee, anchal jab dalta tha dalne hi deti thee
Deewanu ko khoob satati thee par kisi bhi pagal k haat na aati thee
Dilun se khelna mera bhi khel tha, kisi se bhi banta mera na mail tha
Par yeh kaise ho gaya hai, dil mera kho gaya hai
Needen meri udi hai ab yeh deewani teri
Teri ek ek jalak ko tarasne lagi hai
Allad meri jawani, phele badi thee daani
Apna chalan yeh bhi badalne lagi hai

Mere jaanam ab mere ho, kisi aur ki taraf dekhna bhi mana hai ab
Dekhna toh door hai, kisi k baare mein soochna bhi mana hai ab
Mere ho ab sada hi mere bane rehna, Main teri hoon lab se bhi yeh kehna
Sab k saamne izhaare mahobat karna, Chand k saamne muje bahun mein bharna
Dil mere ab tera deewana hai, Rista apna bahut hi purana hai
Muje chod k kabhi na jaana vaada kar mujse
Dekho na na karna meri ankh barasne lagi hai
Allad meri jawani, phele badi thee daani
Apna chalan yeh bhi badalne lagi hai

No comments:

Post a Comment