Monday 10 June 2013

Ghar Ki Kisi Baat Ko Bahir Na Jaane Dena

Ghar ki kisi baat ko bahir na jaane dena
Gali tak poonchi toh bazar chali jayegi
Phir eenth se eenth lage gi takraane
Dheere dheere har deewar chali jayegi

Tere mere beech mein ajeeb see khalis rehti hai
Teri khamosi muje raat din kuch toh kehti hai
Pyar phir pyar na rahe ga aey dosst
Agar apne beech ki takraar chali jayegi
Dheere dheere har deewar.....................

Zara zara see baat pe naraaz hona nahi hai accha
Gila sikwa hota rehe ga agar pyar hai sacha
Choti baat ko bana k bada ristun ko na todh
Aisa karne se jindagi bekaar chali jayegi
Dheere dheere har deewar..............................

Pyar karne ka wqat nahi phir bhi log ladhte hain
Mann mein badle ki aag liye kya kya karte hain
Abhi mokha hai rokh lo bhuri sooch bhuri aadat ko
Nahi toh nafrat ki tez churi dil k paar chali jayegi
Dheere dheere har deewar................................

Maine pyar mein seekha hai ristun ki kadar karna
Kadar na karta toh muje padta kamyaaza bharna
Maine kaise manavun ga uune yeh pata nahi mujko
"Chahat"agar rooth k meri sarkaar chali jayegi
Dheere dheere har deewar...........................

No comments:

Post a Comment