Saturday 29 June 2013

Gazal:Gamun Se Rista Mera Bahut Purana Nikla

Gamun se rista mera bahut purana nikla
Dil toh tutana tha, pyar bas bahana nikla

Dard mein dam kahan tha k todh sakta dil
Dard ka dil se sadiyun ka yaraana nikla

Kal dekha tha usse aur aaj na dekha toh laga
Didaar ki hasrat mein jaise k zamana nikla

Jis ki ankhun se hotun se peene ko main tarsa
Logon k liye usske pass khula mehkhana nikla

Yeh pyar kaisa k shamma jalti rahi mehfil mein 
Phir bhi pass uss k na gaya darpok parwana nikla

Sab ne pyar jata k jisse barbaad kiya "Chahat"
Mere siva koi aur na itna deewana nikla 

No comments:

Post a Comment