Tuesday 11 June 2013

Pyar Kuch Aur Nahi Hota, Sirf Kurbaani Hoti Hai

Main roya hoon, rota hoon,dil mein becheni hoti hai
Koi mujpe tarsh nahi khata, badi heyrani hoti hai
Pyar kar k maine khaya dhokha isliye kehta hoon
Pyar sach much nahi hoti, sirf kaahani hoti hai
Pyar dukh dard k siva, kuch aur nahi deta kabhi
Pyar mein yash nahi milta, sirf badnami hoti hai

Joh kisi ka na huva, kisi k sang sone k baad bhi
Wohi mera na huva, sansun mein perone k baad bhi
Thoda kisi ne dil mera khel k khilone ki tarah
Pata chala hai mujko sab kuch apna khone k baad hi
K pyar kuch aur nahi hota, sirf kurbaani hoti hai
Koi mujpe tarsh nahi khata............................

Pyar zaroori hai jeene k liye, sab ko pata hai yeh
Phir bhi pyar har ek k, naseeb mein hota nahi
Kisi ko paana hi pyar ka, maqsad nahi hota kabhi
Pyar joh karta hai, woh kuch paata hai khota nahi
Phir bhi sache ashiq ko sada hi paresaani hoti hai
Koi mujpe tarsh nahi khata.............................

Apna pyar wqat k saat bade ga hoga aur gehra
Jaise saraab tabi zayada chade jab purani hoti hai
Tujko apna bana k maine jaan liya hai yeh sabak
Joh ladki sundar hoti hai, nahi saayani hoti hai.
"Chahat" pyar ne muje seekhaya hai jeene ka tareeka
Phir bhi kabhi kabhi mujse bhi naadaani hoti hai
Koi mujpe tarsh nahi khata.............................

No comments:

Post a Comment