Friday 7 June 2013

Ab Khuda Ka Naam Bhi Japna Nahi

Umar bhar ka saat koi sapna nahi
Yahan apna bhi toh apna nahi
Tuje pa k maine sabkuch pa liya
Ab khuda ka naam bhi japna nahi

Teri ik ik khusi k liye, zakhm maine dil pe khaye bahut
Dard pe dard tune diye, phir bhi haste rahe muskaraye bahut
Tum kya jannu akele mein kitna, rohya hai maine tere liye
Apne dil ki zameen pe pyar tera, bohya hai maine tee liye

Tera kisi ki aagosh mein jaane se
Tera dusare k sang muskarane se
Kuch palun k liye hi sahi par tune
Rista jodh liya tha zamane se

Zamane k haatun dard mila toh tuje
Phir samaz aaya k koi apna nahi
Ab kha le kasam k mere siva
Rista tune kisi se rakhna nahi
Tuje pa k maine sabkuch pa liya
Ab khuda ka naam bhi japna nahi

Dil ko bahut takleef de k, tere diye gum bhula paya hoon
Marte marte jinda ho gaya, maut k moun se laut k aaya hoon
Teri wafa ka charcha suna na kahein, teri bewafai badi aam thee
Log kehte hain muje pyar karne se pehle, yeh ladki badi hi badnaam thee

Logon ki na sunni dil ki karta gaya
Jitna milta gaya utna marta gaya
Har bhar tujse mil k maine yeh kiya
Dil mein tere hi pyar ko bharta gaya

Jaanbooj k pyar maine na kiya
Tere siva koi laga apna nahi
Sab se kehta hoon tumse pyar hai
Dil mein dabha k mujko gutna nahi
Tuje pa k maine sabkuch pa liya
Ab khuda ka naam bhi japna nahi

No comments:

Post a Comment