Thursday 8 August 2013

Dard

Dard dene wala agar ghair hota
Toh hum dard ki dava kar lete
Hamare bina woh ji lega yakin hota

Toh khud ko uss se juda kar lete

Dard apna hi de raha hai hume
Gilla hi uss se kiya jaye ga
Usse door kar nahi payen ge
Door reh k na jiya jaye ga

Dil paresaan mazboor hai kab se
Pass reh k bhi koi door hai kab se
Zakhm joh pyar mein diya uss ne
Ban gaya nasoor hai kab se

Dil hai k tadapta rehta hai
Dard jaise kaise sehta hai
Iss mein agar woh na rehte
Isse kab ka fana kar lete
Dard dene wala agar gair hota
Toh hum dard ki dava kar lete
 
Dil ki kahanai hai alag ajeeb kissa hai
Sulagta hai, bujta hai na jalta hai
Iss ko sabkuch accha lagta hai
Bas tera no hona bahut khalta hai
 
Tere baare mein poochta hai sab se
Tujko raat din mangta hai rab se
Tujko dher se pata chala pyar ka
Yeh toh marta hai tumpe kab se
 
Roshni ab dil ko bhaati nahi
Yaad k saat tu kyon aati nahi
Yaadun k chiragun k bujne ka darr na hota
Hum jhor ki hawa kar lete
Dard dene wala agar gair hota
Toh hum dard ki dava kar lete
 
Dard humko jaan se pyara hai
Dil bhi jaane diya tumara hai
Iss mein ik alag se masti hai
Meri duniya issi mein basti hai
 
Dard k bin main adura hoon
Dard se meri jindagani hai
Dard se sher main banata hoon
Dard se meri har kahani hai
 
Dard se duniya ko jaana hai
Dard se hi tuje pehchana hai
Tune bhi dard saha hai kitna
Issliye tumko apna maana hai
Dard mein agar maza na hota
Pyar mein kuch aur naya kar lete
Dard dene wala agar gair hota
Toh hum dard ki dava kar lete

No comments:

Post a Comment