Friday 16 August 2013

Savtantar Diwas - Ek Nirasha

Apne pass kya nahi hai Ganga Godavari bhi hai Sindu bhi hai
Ganit Jyotish k saat saat duniya ko dee Zero wali Bindu bhi hai
Himalaya bhi sar pe hai apne pavun mein hain theen samundar
Jungalun mein hain jhari butiyan aur sona hai bhoomi hai andar

Har mausam yahan aata hai le k apna rang roop
Khein saawan barasta hai aur khein khilti hai dhoop
Hawaein mere desh ki khusboo felaati hain har jagha
Pa...harun pe goomate hai yogi doondane ko sachai aur khuda

Khuda ne sabkuch diya hume phir bhi hum pichde huve hain
Kehne ko hum hai bhai bhai par mann se kyon bichde huve hain
Kyon saat saat reh k hum kayam rakh nahi sakte bhaichara
Kyon aaj Hindu ne muslim ko loota kyon muslim ne hindu ko maara

Joh log apni maddat nahi karte hai khuda bhi unn k saat nahi hota
Maine sunna hai galat logon pe kabhi bhi khuda ka haat nahi hota
Aavo kasam kha len k ab k Savtantar Divas pe aisa karen ge kaam
Na khud ko hone den ge chota na Desh ko hone den ge badnaam

No comments:

Post a Comment