Tuesday 20 August 2013

Oh Bhaiya Mere Aaj Hai Rakhi

Mann mein hain umeeden, ankhun mein hain paani
Honton pe hai khamosi aur chere pe paresaani
Aaj phir maine apne mann ki hi maani
Baandhne aayi hoon tujko pyar ki nishani
Saal bhar ki galtiyun ki maangti hoon maufi
Oh Bhaiya mere aaj hai Rakhi,Oh Bhaiya mere aaj hai Rakhi

Bachpane se aaj tak humne mil k dard baante hain
Door kar k aaj bhi joh meri rahun mein kaante hain
Tera bina bhaiya main aaj bhi adhuri hoon
Kya tere vaaste main nahi zaroori hoon
Prabhu se duva hai apna rista aur gehra ho
Meri safalta ka bhi tere sar pe sehra ho
Apne beech mein sada pyar rahe baaki
Oh Bhaiya mere aaj hai Rakhi
Oh Bhaiya mere aaj hai Rakhi

Bhool chuka hoon main bhi saari kadwi baatein
Apne beech ho huvi thee kuch aanchai mulakaatein
Kadwe bhoolun se bandan tootey nahi hai
Kon kehta hai Bhai Behan roothte nahi hai
Aa ja aaj saare gille sikwe door kar le
Apni jholiyun ko phir se khusiyun se bhar le
Tere pyar ki gehrai maine mann se hai naapi
Oh Behna meri aaj hai rakhi 
Oh Behna meri aaj hai rakhi
Meri galtiyun ko tu bhi de de maufi
Oh Behna meri aaj hai Rakhi

Roothe ge kabhi na hum aavo aaj kasam kha le
Chandan k teeke mein pyar ki bhoonde ko mila le
Rakhi k dhaage mein duvavun ko chupa k
Mann k har ek mutape ko mita k
Phir se pyar ki dagar pe chalen ge
Ab ankhun mein pyar k deep jalen ge
Bhai sunn ne lage ga phir se behan ki pukaar
Pyar se har saal maanaye ge rakhi ka tayohaar
Rakhi ki aeymiyat kya hai kisi se jaye na aaki
Oh Behna meri aaj hai Rakhi, Oh Bhaiya mete aaj hai Rakhi

No comments:

Post a Comment