Friday 16 August 2013

Kuch Aur Rubiyaan

Dil todhne wala ghair nahi tha apna tha
Dil ke saat saat toota har ek sapna tha
Ankhun mein naumeede aaj bhi aati hai nazar
Logon ko ho jaati hai mere dil ki khabar.


Jis ne dil k kiye tukhre tukhre, uss ko bhi toot k pyar kiya
Jis ne ek pal bhi saat na diya, uss ka barsun intazar kiya
Hum bhole hain acche hain ya sacche hum nahi jaante
Bas sachai yehi hai k bharosa ussi ne todha jis pe aitbaar kiya.


Ek darwaza bhand huva toh khul gaye kitne
Tere jaane k baad muje dost mil gaye kitne
Par koi tuj sa jindagi mein phir se aa na paya
Dil bhi pagal hai "Chahat" tujko bhula na paya


Main kab kehta hoon, koi umar bhar mera saat de
Yehi bahut hai koi aaye, muje dekhe chala jaye
Chale jaane k baad uss ko meri yaad aaye gi
Main aisee cheej nahi "Chahat" jisse koi bhula jaye.


Bewaja khus rehne ki koshish, wohi karte hain
Apne hi jin ki ankhun mein, ansu bharte hain
Jisse pyar mila ho, uss ka ansu bhi hasta hai
Toota dil bhi jhude, agar pyar uss mein basta hai.


Dil k aaine mein teri tasveer sajai hai kab se
Doondali ho gayi hai baat dil ne chupai hai kab se
Main yeh maan k chal raha hoon tu sirf hai meri,
Par log toh kehta hain k tu ho gayi parai hai kab se.

Koi dewaar tuje mujse alag na kar payi
Tu sada saat rahi ban k meri parchai
Logon ne dekha hai sirf roop rang mera
Sirf tune dekhi hai dil mein pyar ki gehrai
Maine aknh band k bharosa kiya hai tujpe
Mar jaavun ga "Chahat"agar wafa tune aajmai.


Khuda se duva yehi hai mere desh ko bachaye rakhna,
Isse apne hi lootne mein kab le lage huve hain,
Har bhurai mein apnu ka haat hai kisi ghair ka nahi,
Apne huva hai sootele aur bahirwale sagge huve hain.
Koi CIA ISI ya koi aur taqat kar sakti nahi apna nuksaan,
Hum saat rahe agar toh tabhi Bharat hoga Mahaan.

Tuje rahun mein chod k, main aage ja bhi nahi sakta
Saat chalna bhi hai muskil, aur peeche aa bhi na sakta
Ab main kya karun tu hi, bata mujko humsafar
Main badal na pavunga, badal le tu dagar.


Kyon mahobat pe hamesha ilzaam lagaye jaate hain
Raastun pe akshar kaante bechaye jaate hain
Pyar karnewale dard sehte hain hass k " Chahat"
Aur zakhm dil k phir bhi sabse chupaye jaate hain.

Jin din bina bhole, woh samaj jayen ge dil ki baat
Uss din sab ko chod k, woh aa jayen ge mere saat
Phir kuch iss tarah se hogi, dil se dil ki mulakaat
Yaadgaar ho jayen ge din, bhule gi na koi raat.


Jin ko main rooh mein chupane ki baat karta tha
Woh mere dil mein bhi bas na sakke baat itni hai
Kuch pal rukhe chuva chooma pyar kiya laut gaye
Aur bhole aajkal pyar aise hota hai mulakaat itni hai
Sham dalne pe joh mille muje raat hote hi chod gaye
Main kehta raha unse 'Chahat" rukho baaki raat itni hai.


Dosti mein pyar na ho toh bhi chalegi dosti
Par pyar mein dosti na ho toh pyar chal sakta nahi
Bhanvare ko jalne k vaste hai samma ki zaroorat
Akele chahe bhi toh bhanvara jal sakta nahi.

No comments:

Post a Comment