Wednesday 7 August 2013

Khata Thee Tumari, Par Khud Ko Saza Di

Tuje mauf kar k, tujko dil se duva di
Khata thee tumari, par khud ko saza di
Woh dil jis k tumne, kiye lakhun tukhde
Uss dil k har tukhre mein, tujko jagha di

Teri galti mauf karne k kabil kahan thee
Jahan thee burai khadi tu wahan thee
Behki nahi tu batakne lagi thee
Behayai k farsh pe fisalne lagi thee
 
Ghar ko chod k tum bahir nikal gayi thee
Tooti hi nahi tum toh bikhar gayi thee
Vaadeun se apne tu phir gayi thee
Apni nazrun mein hi gir gayi thee
 
Jab udas bebas thee tum bin sahare
Koi sunta nahi tha teri pukaren
Tab tujko maine apna banaya
Ankhun mein tera sapna basaya
Jeene ki maine tuje phir waza di
 Woh dil jis k tumne, kiye...........
 
Jab tera koi na tha sahara diya hai
Mazdaar mein thee dhubi kinara diya hai
Bachaya hi nahi tuje savara hai maine
Atma k haatun sahid haara hai maine
 
Bachate bachate tuje pyar kar gaya main
Aur apni saari haaden paar kar gaya main
Mera pyar itna sacha k khuda ho gaya hai
Kon kehta hai mujse gunah ho gaya hai
 
Mauf karna jindagi bachane agar paap hai
Toh is ki muje saza deejiye
Le jahiye mere sab kuch joh bhi chahiye
Par mujko meri wafa deejiye
Kyonki sansun ko wafa se hi maine hawa di
Woh dil jis k tumne, kiye...........

No comments:

Post a Comment