Monday 19 August 2013

Neta Aur BhaiChara

Aaj desh ki joh halaat hai usse humne hi banaye hain
Kyon ki humne acche log nahi neta banaye hain
Jitney bhi lafange hai gunde hai mawaali hain
Wohi log kar rahe, is desh ki rakhwali hain

Unn ka kaam hai gumrah karna apne fayade k liye
Kasm pe kasam khayen ge woh jhoote vaade k liye
In ki atma marr chuki hai inn pe bharosa na keejiye
Kisi bhi zaroori sabha mein inn ko aane na deejiye

Kashmir mein joh lagi hai aag, usse miljull k bujaiye
Kisi bhi Party ya Neta k na chakkar mein aaiye
Yeh rotiaan sekhte hai aag main khhon pe karte hain rajneeti
Inne koi garaz nahi hai kisi se kya sunne ge kisi ki aapbeeti

Koi Hindu ban k aaye ga koi bane ga musilmaan
Kash k koi inn mein ban k aata sirf ik insaan
Koi Gita pe dega bhasan koi bhole ga hai khatre mein Quran
Inn k liye keemati vote hain khodi ki bhi nahi hai jaan

Kashmir se Kanyakumari tak yeh zehar felayen ge
Bhasan de k galat bayaani kar k aag aur bhadkayen ge
Teh kar lo kisi bhi neta ko Kishtwar na aane denge
Aur zurm jis ne kiya hai uss ko saza bina na jaane denge

Hindu ho ya musilmaan jis ne bhi Hinsa felai
Uss k ooper Sarkaar kare aisee sakhat karwai
K "Chahat" dobara aisa hadsa kahein bhi na ho desh mein
Koi Bedhiya na rahe hamere beech Khargosh k besh mein

No comments:

Post a Comment