Friday 16 August 2013

Patni - Shareeke Hayaat

Meri shareeke-yahaat ne kaha, mujpe bhi likho
Dusarun pe aap ne likhe, khein geet hain
Maine kaha shayar sab ka hota hai, ek na nahi
Kon kehta hai yeh aap k, nahi geet hain

Aap ko dekh k kalam uthata hoon main
Geet chere pe kitne likh jaata hoon main
Par masroof hai aap mujko sunte nahi
Gazal aap ko jab apni sunata hoon main

Khane se chula chakki se aap ko fursat nahi
Bachhun k hote meri aap ko zaroorat nahi
Ghar k kaam kaaj mein aaap masroof rehte hain
Issliye mujko aap yeh baat kehte hain

Aap ko meri shayari mein pyar na dikhe
Aap k liye maine joh bhi sher hain likhe
Unn mein aap ko koi dusara aata hai nazar
Samjate samjate dukhne lagta hai mera sar

Jab se aap meri jindagi mein aayi ho
Tab se mujko sakoono- karaar hai mila
Dil ki keh leta hoon sunn leta hoon dil ki
Jab se aap se mujko sacha pyar hai mila

Phir bhi woh mujpe aitbaar nahi karte hain
Gazal ko pad k thandi thandi aahyen bharte hain
Har sher mein unn ko sautan ki chavi dikti hai
Dost Facebook pe jab koi meri naavi dikti hai

Silver Jubilee hone wali hai apni shaadi ki
Bhurapa aa raha hai jawaani dhal rahi hai
Jawaani mein jab koi kahani bani nahi apni
Ab kya bane gi sans muskil se chal rahi hai

Theen bachun ka baap hoon khabar hai sab ko
Raat din main manaata rehta hoon rab ko
Ashique ka mere pass wqat hi kahan hai
Kyon ki meri patni abhi bhi jawaan hai

Dekne mein hum bhi jawaan hain log kehte hain
Phir bhi dekho hum ek hi dil mein rehte hain
Woh Patni ka dil hai kisi aur ka nahi
Dahej mein mila tha kaam chor ka nahi

Agle saal karnewala hoon main bachhe ki saadhi
Khud pyar kar k karun ga na main apni barbaadi
Sirf Patni se pyar karta hoon sab log jaante hain
Main sacha Patni Varta hoon yeh bhi maante hain

Tang aa k main patni se ab kuch na kehta hoon
Woh Gazal pade ya Geet main khamoosh rehta hoon
Unn ki baat ko sunni unsunni kar deta hoon
Woh kataasq bhi karti hain toh hass k sehta hoon

Aur sehna mere liye "Chahat" jab ho gaya bhari
Tab ja k ek din maine yeh line sunna maari
Na mera dosh hai na hai yeh galti tumari
Tum mehbooba nahi ho jaanam patni ho hamari.

No comments:

Post a Comment