Wednesday 21 August 2013

Apna Kishtwar

Kisi ka jalla makaan, kisi ka marra hai bhai
Kisi ka dhan luta hai, kisi ne dil pe chot khai
Kishtwar mein aisa hoga, kabhi soocha bhi nahi tha
Jahan Hindu aur Muslim they, ik duje ki parchai

Na Hindu marra na Muslim, Insaaniyat aaj marri hai
Heraan hoon kalam walun ne, gholi kaise chalai
Pathar kis ne phenka, bhaiichara kis ne thoda
Apnu ne hi felai affwayein, apnu ne hi aag lagai.


Hindu muslim pe ilzaam laga raha hai
Dosh nahi hai mera galti hai tumari
Muslim keh raha hai Hindu ki hai galti
Donu ki ladai mein insaniyat hi haari

Sache mann se aavo khuda se karen duva
Sab kuch yahan ho jaye pehle k jaisa
Hindu dobara se khus ho k Eid manayae
Aur Muslim diwali pe phir se deep jalaye

Aisa zaroor hoga muje poora yeh yakeen hai
Kishtwar ki zameen Oliyun Waliyun ki zameen hai
Yahan khoon na bahe ga yahan phool khilen ge
"Chahat" Hindu Muslim dobara gaale milen ge.
 

No comments:

Post a Comment