Tuesday 6 August 2013

Inne Rokh Na Chalne De Mahobat K Silsille

Khuda kare k tujko duniya ka har ek sukh mille
Apne hi hak mein tujko baharun ka rukh mille
Main tere ansu pee loonga aa lag ja mere galle
Inne rokh na chalne de mahobat k silsille

Tune dard jitna diya maine hass k seh liya
Chalni kiya mera dil maine uff bhi na kiya
Bewafai tune ki, behayai tune ki
Dil jismo jaan k saat rooh ki tabai tune ki
Tuje phir bhi apnaya seene se lagaya
Saare jahan ka pyar tujpe maine lutaya
Maine tumse kabhi nahi kiya tu bhi na kar gille
Inne rokh na chalne de mahobat k silsille

Tuje apna banane k liye jahan k saat saat 
Maine khud se bhi ki hai badi lambhi ladai
Bebassi se bhi lada hoon udasiyun se bhida hoon
Phir ja k bhool paya hoon teri bewafai teri behayai
Par us k baad bhi tune kahin baar dil toda
Kabhi jaan k kabhi anjane mein gamu se rista jodha
Barbaad kiye hai tune umangun se sabhi kille
Inne rokh na chalne de mahobat k silsille

Dil k haatun main bhi luta hoon tuje pyar kar k
Kuch bhi na pa sakka hoon lambha intazar kar k
Tune dard k siva sirf dee hain jimmewariyaan
Main kar raha hoon ab khuda se milne ki tayariyaan
Kehta hai muj se dil mera tu apne aap kar
Har bhar is ladki ki galti ko mauf kar
Baratha ja mahobat k hain jaise silsille
Inne rokh na chalne de mahobat k silsille

No comments:

Post a Comment